jab tasavvur tira nahin hota
zindagi mein maza nahin hota
dard dil ka chhupaaye rakhne ko
muskurana bura nahin hota
zindagi ho ke rah gai bojhal
ab koi haadsa nahin hota
sher likhta hoon khoon se phir bhi
dard ka haq ada nahin hota
umr guzri hamein safar karte
fasla kam zara nahin hota
yaad-e-maazi se kyun uljhte ho
is se kuchh faaeda nahin hota
zindagi bojh ban gai jab se
khauf gham ka zara nahin hota
ai sehar aayi ye sehar kaisi
ki ujaala zara nahin hota
जब तसव्वुर तिरा नहीं होता
ज़िंदगी में मज़ा नहीं होता
दर्द दिल का छुपाए रखने को
मुस्कुराना बुरा नहीं होता
ज़िंदगी हो के रह गई बोझल
अब कोई हादसा नहीं होता
शेर लिखता हूँ ख़ून से फिर भी
दर्द का हक़ अदा नहीं होता
उम्र गुज़री हमें सफ़र करते
फ़ासला कम ज़रा नहीं होता
याद-ए-माज़ी से क्यों उलझते हो
इस से कुछ फ़ाएदा नहीं होता
ज़िंदगी बोझ बन गई जब से
ख़ौफ़ ग़म का ज़रा नहीं होता
ऐ 'सहर' आई ये सहर कैसी
कि उजाला ज़रा नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Khoon Shayari Shayari