mujh ko kehta hai muskuraane ko
jaane kya ho gaya zamaane ko
mujh ko toofaan kya dubo saka
dil hi chaaha tha doob jaane ko
apni hi dastaan samajh baithi
sun ke duniya mere fasaane ko
bazm mein teri ham chale aaye
az-sar-e-nau fareb khaane ko
ham jhuka kar jabeen-e-shauq apni
khud bula lenge aastaane ko
ham chhidakte rahe lahu apna
aashiyaan mein bahaar laane ko
tiri yaadon ne rah-ravi ki hai
jab bhi chaaha tujhe bhulaane ko
ashk ban kar charaagh aate hain
meri palkon pe jagmagane ko
main sehar ban ke aa gaya hoon sehar
dehr se teergi mitaane ko
मुझ को कहता है मुस्कुराने को
जाने क्या हो गया ज़माने को
मुझ को तूफ़ान क्या डुबो सकता
दिल ही चाहा था डूब जाने को
अपनी ही दास्ताँ समझ बैठी
सुन के दुनिया मिरे फ़साने को
बज़्म में तेरी हम चले आए
अज़-सर-ए-नौ फ़रेब खाने को
हम झुका कर जबीन-ए-शौक़ अपनी
ख़ुद बुला लेंगे आस्ताने को
हम छिड़कते रहे लहू अपना
आशियाँ में बहार लाने को
तिरी यादों ने रह-रवी की है
जब भी चाहा तुझे भुलाने को
अश्क बन कर चराग़ आते हैं
मिरी पलकों पे जगमगाने को
मैं सहर बन के आ गया हूँ 'सहर'
दहर से तीरगी मिटाने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari