naye sheeshe mein ab dhal jaaye har rasm-e-kuhan saaqi | नए शीशे में अब ढल जाए हर रस्म-ए-कुहन साक़ी

  - Jagjeewan Lal Asthana sahar

naye sheeshe mein ab dhal jaaye har rasm-e-kuhan saaqi
tujhe duniya badalti hai mujhe ye anjuman saaqi

wahan kis kaam ke ye saagar-o-meena-o-paimaana
jahaan chalta hai teri mast aankhon ka chalan saaqi

na aankh utthi na may chhalki na saaghar daur mein aaya
mujhe deta raha dhoke ye tera baankpan saaqi

likha hai naam mera yun to har ik shaakh par lekin
na mere phool hain saaqi na mera hai chaman saaqi

hata saaghar na mere saamne se is ko rahne de
ki is se jhaankti hai mere khwaabon ki dulhan saaqi

maza jab hai meri masti ko tu do-aatishaa kar de
nigaahon se nigaahon ka bhi hone de milan saaqi

zara bheegi hui zulfon ki do ik boond tapka de
sulagta hai na jaane kab se mera tan-badan saaqi

tiri zulfon ke saaye mein dhali raaton ka kya kehna
magar kuchh aur kehta hai sehar ka baankpan saaqi

नए शीशे में अब ढल जाए हर रस्म-ए-कुहन साक़ी
तुझे दुनिया बदलती है मुझे ये अंजुमन साक़ी

वहाँ किस काम के ये साग़र-ओ-मीना-ओ-पैमाना
जहाँ चलता है तेरी मस्त आँखों का चलन साक़ी

न आँख उट्ठी न मय छलकी न साग़र दौर में आया
मुझे देता रहा धोके ये तेरा बाँकपन साक़ी

लिखा है नाम मेरा यूँ तो हर इक शाख़ पर लेकिन
न मेरे फूल हैं साक़ी न मेरा है चमन साक़ी

हटा साग़र न मेरे सामने से इस को रहने दे
कि इस से झाँकती है मेरे ख़्वाबों की दुल्हन साक़ी

मज़ा जब है मिरी मस्ती को तू दो-आतिशा कर दे
निगाहों से निगाहों का भी होने दे मिलन साक़ी

ज़रा भीगी हुई ज़ुल्फ़ों की दो इक बूँद टपका दे
सुलगता है न जाने कब से मेरा तन-बदन साक़ी

तिरी ज़ुल्फ़ों के साए में ढली रातों का क्या कहना
मगर कुछ और कहता है 'सहर' का बाँकपन साक़ी

  - Jagjeewan Lal Asthana sahar

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagjeewan Lal Asthana sahar

As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar

Similar Writers

our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari