nigaah-o-dil ko jalane ka hausla to karo
utha ke parde haqeeqat ka saamna to karo
bisaat-e-raks pe nagmon se khelne waalo
kisi gareeb ki fariyaad bhi suna to karo
kisi ke aib tumhein phir nazar na aayenge
khud apne aap ko tafseel se padha to karo
vo zindagi ke liye ho ki ho ajal ke liye
hamaare haq mein kabhi tum koi dua to karo
dikhaai denge hamein ham tumhaare chehre mein
nazar ke saamne ik baar aaina to karo
majaaz khud hi haqeeqat ka roop dhaalega
ye shart hai ki haq-e-bandagi ada to karo
hamaari aankh mein suraj ko dhoondhne waalo
tum apne dil ko ujaalon se aashna to karo
main kaayenaat ki har shay ko chhod saka hoon
tum apne dard-e-mohabbat se aashna to karo
bahut taveel sahi shab tumhaari zulfon ki
sehar ko in ke ujaalon se aashna to karo
निगाह-ओ-दिल को जलाने का हौसला तो करो
उठा के पर्दे हक़ीक़त का सामना तो करो
बिसात-ए-रक़्स पे नग़्मों से खेलने वालो
किसी ग़रीब की फ़रियाद भी सुना तो करो
किसी के ऐब तुम्हें फिर नज़र न आएँगे
ख़ुद अपने आप को तफ़्सील से पढ़ा तो करो
वो ज़िंदगी के लिए हो कि हो अजल के लिए
हमारे हक़ में कभी तुम कोई दुआ तो करो
दिखाई देंगे हमें हम तुम्हारे चेहरे में
नज़र के सामने इक बार आइना तो करो
मजाज़ ख़ुद ही हक़ीक़त का रूप ढालेगा
ये शर्त है कि हक़-ए-बंदगी अदा तो करो
हमारी आँख में सूरज को ढूँडने वालो
तुम अपने दिल को उजालों से आश्ना तो करो
मैं काएनात की हर शय को छोड़ सकता हूँ
तुम अपने दर्द-ए-मोहब्बत से आश्ना तो करो
बहुत तवील सही शब तुम्हारी ज़ुल्फ़ों की
'सहर' को इन के उजालों से आश्ना तो करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Poverty Shayari Shayari