shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hoon main
bujha ke sham'a ko ab dil jala raha hoon
khayaal-e-yaar ko dil mein basa raha hoon main
tasavvuraat ki duniya saja raha hoon main
gham-e-hayaat gham-e-dil ka lutf paane ko
ajal ke haath se daaman chhuda raha hoon main
ajeeb haal hai shaakhon se phool jhadte hain
bhari bahaar mein aansu baha raha hoon main
ye raaz faash na ho jaaye aansoon se kahi
tumhaare gham ko tumheen se chhupa raha hoon main
na lab pe koi shikaayat na dil hai fariyaadi
tumhaari bazm se khaamosh ja raha hoon main
uthao saaz milaao dilon ke taaron ko
nayi hayaat ke nagme suna raha hoon main
visaal-o-hijr ka aalam ajeeb aalam hai
fasana shab ka sehar ko suna hoon main
शब-ए-फ़िराक़ को यूँ जगमगा रहा हूँ मैं
बुझा के शम्अ को अब दिल जला रहा हूँ
ख़याल-ए-यार को दिल में बसा रहा हूँ मैं
तसव्वुरात की दुनिया सजा रहा हूँ मैं
ग़म-ए-हयात ग़म-ए-दिल का लुत्फ़ पाने को
अजल के हाथ से दामन छुड़ा रहा हूँ मैं
अजीब हाल है शाख़ों से फूल झड़ते हैं
भरी बहार में आँसू बहा रहा हूँ मैं
ये राज़ फ़ाश न हो जाए आँसूओं से कहीं
तुम्हारे ग़म को तुम्हीं से छुपा रहा हूँ मैं
न लब पे कोई शिकायत न दिल है फ़रियादी
तुम्हारी बज़्म से ख़ामोश जा रहा हूँ मैं
उठाओ साज़ मिलाओ दिलों के तारों को
नई हयात के नग़्मे सुना रहा हूँ मैं
विसाल-ओ-हिज्र का आलम अजीब आलम है
फ़साना शब का 'सहर' को सुना हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Rose Shayari Shayari