un ko ehsaas-e-gham nahin hota
kyun ye ehsaas kam nahin hota
waqt likhta hai sab ki taqdeeren
haath mein go qalam nahin hota
main hoon unwaan us fasaane ka
jo ki sarf-e-qalam nahin hota
faaeda kya hai aise rone se
un ka daaman jo nam nahin hota
tum mere saath saath chalte ho
kyun ye ehsaas kam nahin hota
sab pe rahmat tiri barasti hai
ek ham par karam nahin hota
muskurana bhi fan hai duniya mein
kis ki duniya mein gham nahin hota
sar jhukaate nahin hain ham jis ja
tera naqsh-e-qadam nahin hota
ek vo dil ki toot jaate hain
ek ye sar ki kham nahin hota
un ke gham se jo dosti hai sehar
ab kisi gham ka gham nahin hota
उन को एहसास-ए-ग़म नहीं होता
क्यों ये एहसास कम नहीं होता
वक़्त लिखता है सब की तक़दीरें
हाथ में गो क़लम नहीं होता
मैं हूँ उन्वान उस फ़साने का
जो कि सर्फ़-ए-क़लम नहीं होता
फ़ाएदा क्या है ऐसे रोने से
उन का दामन जो नम नहीं होता
तुम मिरे साथ साथ चलते हो
क्यों ये एहसास कम नहीं होता
सब पे रहमत तिरी बरसती है
एक हम पर करम नहीं होता
मुस्कुराना भी फ़न है दुनिया में
किस की दुनिया में ग़म नहीं होता
सर झुकाते नहीं हैं हम जिस जा
तेरा नक़्श-ए-क़दम नहीं होता
एक वो दिल कि टूट जाते हैं
एक ये सर कि ख़म नहीं होता
उन के ग़म से जो दोस्ती है 'सहर'
अब किसी ग़म का ग़म नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar
our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar
As you were reading Relationship Shayari Shayari