waqt apna ho to toofan-o-balaa kuchh bhi nahin | वक़्त अपना हो तो तूफ़ान-ओ-बला कुछ भी नहीं

  - Jagjeewan Lal Asthana sahar

waqt apna ho to toofan-o-balaa kuchh bhi nahin
barq girne ko giri aur hua kuchh bhi nahin

main ne ik umr guzaari hai tiri furqat mein
kya muqaddar mein mere is ke siva kuchh bhi nahin

sirf haathon ko uthaane ka nateeja kya hai
ho saleeqa na dua ka to dua kuchh bhi nahin

jaane bhar jaate hain kis tarah gulon se daaman
mere daaman mein to kaanton ke siva kuchh bhi nahin

baat zakhamon ki kaho karb ki tashreeh karo
ab mohabbat ke fasaane mein raha kuchh bhi nahin

dard-o-gham aah-o-fughaan soz-e-nihaan ashk ravaan
dosto is ke siva mera pata kuchh bhi nahin

chand sikko ke liye shauq se bik jaate hain
aaj ke daur mein insaan ki ana kuchh bhi nahin

raushni jitni thi sab loot li andhiyaaron ne
ab ujaalon mein sehar aur bacha kuchh bhi nahin

वक़्त अपना हो तो तूफ़ान-ओ-बला कुछ भी नहीं
बर्क़ गिरने को गिरी और हुआ कुछ भी नहीं

मैं ने इक उम्र गुज़ारी है तिरी फ़ुर्क़त में
क्या मुक़द्दर में मिरे इस के सिवा कुछ भी नहीं

सिर्फ़ हाथों को उठाने का नतीजा क्या है
हो सलीक़ा न दुआ का तो दुआ कुछ भी नहीं

जाने भर जाते हैं किस तरह गुलों से दामन
मेरे दामन में तो काँटों के सिवा कुछ भी नहीं

बात ज़ख़्मों की कहो कर्ब की तशरीह करो
अब मोहब्बत के फ़साने में रहा कुछ भी नहीं

दर्द-ओ-ग़म आह-ओ-फ़ुग़ाँ सोज़-ए-निहाँ अश्क रवाँ
दोस्तो इस के सिवा मेरा पता कुछ भी नहीं

चंद सिक्कों के लिए शौक़ से बिक जाते हैं
आज के दौर में इंसाँ की अना कुछ भी नहीं

रौशनी जितनी थी सब लूट ली अँधियारों ने
अब उजालों में 'सहर' और बचा कुछ भी नहीं

  - Jagjeewan Lal Asthana sahar

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagjeewan Lal Asthana sahar

As you were reading Shayari by Jagjeewan Lal Asthana sahar

Similar Writers

our suggestion based on Jagjeewan Lal Asthana sahar

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari