nazar mein shaayar ke phir raha hai hara-bhara pur-bahaar jungle | नज़र में शाएर के फिर रहा है, हरा-भरा पुर-बहार जंगल

  - Jameel Mazhari

nazar mein shaayar ke phir raha hai hara-bhara pur-bahaar jungle
vo subh-e-rangeen vo kaif-e-manzar vo daaman-e-koh bindiya-chal
mili thi ik rang-o-boo ki duniya tamaam sehra chaman chaman tha
magar vo jannat-nigaah waadi bahaar ka mustaqil watan tha
khada hua tha gareeb shaayar khamosh sahraa-e-rang-o-boo mein
machal rahi thi sehar ki doshizaa shab ke aaghosh-e-aarzoo mein
hon chashm-e-aashiq mein jaise aansu sitaare yun jhilmila rahe the
falak pe barham thi bazm-e-anjum charaagh gul hote ja rahe the
tajalliyon ki falak se baarish thi zulmat-e-shab bikhar rahi thi
ki subh ki sanwali haseena naha rahi thi nikhar rahi thi
nadi mein halka sa tha tamvuj kahein jise be-qaraar ghaflat
ki neend mein jaise karvatein le jawaan bad-mast-e-khwaab aurat
hawa jo shaana hila rahi thi to maujen hushiyaar ho rahi theen
tuyoor ke mast zamzamon se fazaayein bedaar ho rahi theen

ye kaifiyat thi aur ek jogan sitaar baithi baja rahi thi
magar vo jungle ki shaahzaadi bahaar ke geet ga rahi thi
bahaar ke geet ga rahi thi fazaa mein nagme bikherthi thi
sukoot fitrat ka daad deta tha rukh jidhar ko vo ferati thi
vo neend se muzmahil nigaahen vo lab pe maghoom muskuraahat
hazaar andaaz-e-dil-rubaai aur ek maasoom muskuraahat
theen neend se rasmaasai aankhen aur in mein shokhi machal rahi thi
khumaar-aalooda ankhadiyon mein bahaar ki rooh pal rahi thi
qamar ki tal'at shafaq ki surkhi jabeen pe subh-e-bahaar khandaan
nigaah aaina-daar-e-manzar jamaal parvarda-e-bayaabaan
sitaar pe naazuk ungaliyaan theen kalaaee gori lachak rahi thi
umangein leti theen dil mein karvat rag-e-jawaani fadak rahi thi

sunhare jalvo ki chhoot daali jo shah-khaawar ke taaj-e-zar ne
talaai afshaan chuni jabeen par maleeh doshiza-e-sehr ne
talaai zewar se aur chamki uroos-e-manzar ki dilrubaaai
utha jo suraj to dhoop nikli haseena-e-subh khilkhilaai
fazaa ki tabdeeliyon ko dekha jo bazm-e-fitrat ki mutriba ne
sitaar rakha uthaai gagri nadi kinaare chali nahaane
vo ja rahi thi nadi ki jaanib main laut kar ghar ko aa raha tha
sitaar khaamosh ho chuka tha magar ye dil gunguna raha tha
zamaana guzra nuqoosh-e-maazi khayal se mitte ja rahe hain
magar vo nagme jameel ab tak dimaagh ko gudguda rahe hain

नज़र में शाएर के फिर रहा है, हरा-भरा पुर-बहार जंगल
वो सुब्ह-ए-रंगीं, वो कैफ़-ए-मंज़र, वो दामन-ए-कोह बिंधिया-चल
मिली थी इक रंग-ओ-बू की दुनिया, तमाम सहरा चमन चमन था
मगर वो जन्नत-निगाह वादी बहार का मुस्तक़िल वतन था
खड़ा हुआ था ग़रीब शाएर, ख़मोश सहरा-ए-रंग-ओ-बू में
मचल रही थी सहर की दोशीज़ा शब के आग़ोश-ए-आरज़ू में
हों चश्म-ए-आशिक़ में जैसे आँसू, सितारे यूँ झिलमिला रहे थे
फ़लक पे बरहम थी बज़्म-ए-अंजुम, चराग़ गुल होते जा रहे थे
तजल्लियों की फ़लक से बारिश थी, ज़ुल्मत-ए-शब बिखर रही थी
कि सुब्ह की साँवली हसीना नहा रही थी, निखर रही थी
नदी में हल्का सा था तमव्वुज कहें जिसे बे-क़रार ग़फ़लत
कि नींद में जैसे करवटें ले, जवान, बद-मस्त-ए-ख़्वाब औरत
हवा जो शाना हिला रही थी, तो मौजें हुशियार हो रही थीं
तुयूर के मस्त ज़मज़मों से फ़ज़ाएँ बेदार हो रही थीं

ये कैफ़ियत थी और एक जोगन सितार बैठी बजा रही थी
मगर वो जंगल की शाहज़ादी बहार के गीत गा रही थी
बहार के गीत गा रही थी फ़ज़ा में नग़्मे बिखेरती थी
सुकूत फ़ितरत का दाद देता था रुख़ जिधर को वो फेरती थी
वो नींद से मुज़्महिल निगाहें वो लब पे मग़्मूम मुस्कुराहट
हज़ार अंदाज़-ए-दिल-रुबाई और एक मासूम मुस्कुराहट
थीं नींद से रस्मसाई आँखें और इन में शोख़ी मचल रही थी
ख़ुमार-आलूदा अँखड़ियों में बहार की रूह पल रही थी
क़मर की तलअत, शफ़क़ की सुर्ख़ी, जबीं पे सुब्ह-ए-बहार ख़ंदाँ
निगाह आईना-दार-ए-मंज़र, जमाल पर्वर्दा-ए-बयाबाँ
सितार पे नाज़ुक उँगलियाँ थीं, कलाई गोरी लचक रही थी
उमंगें लेती थीं दिल में करवट, रग-ए-जवानी फड़क रही थी

सुनहरे जल्वों की छूट डाली जो शाह-ख़ावर के ताज-ए-ज़र ने
तलाई अफ़्शाँ चुनी जबीं पर मलीह दोशीज़ा-ए-सहर ने
तलाई ज़ेवर से और चमकी उरूस-ए-मंज़र की दिलरुबाई
उठा जो सूरज तो धूप निकली हसीना-ए-सुब्ह खिलखिलाई
फ़ज़ा की तब्दीलियों को देखा जो बज़्म-ए-फितरत की मुतरिबा ने
सितार रक्खा, उठाई गगरी, नदी किनारे चली नहाने
वो जा रही थी नदी की जानिब मैं लौट कर घर को आ रहा था
सितार ख़ामोश हो चुका था मगर ये दिल गुनगुना रहा था
ज़माना गुज़रा नुक़ूश-ए-माज़ी ख़याल से मिटते जा रहे हैं
मगर वो नग़्मे 'जमील' अब तक दिमाग़ को गुदगुदा रहे हैं

  - Jameel Mazhari

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jameel Mazhari

As you were reading Shayari by Jameel Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Jameel Mazhari

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari