agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha
to main gunchon ki mutthi mein dil-e-bulbul hua hota
gunaahon mein zarar hota duaon mein asar hota
mohabbat ki nazar hota haseenon ki ada hota
farogh-e-chehra-e-mehnat ghubaar-e-daman-e-daulat
nam-e-peshani-e-ghairat. kham-e-zulf-e-rasa hota
hua hota kisi dastaar-e-kaj par phool ki tarah
aur us dastaar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota
kisi maghroor ki gardan pe hota bojh ehsaan ka
kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dava hota
kisi munim ke chehre par khushi haajat-ravaai ki
kisi nadaar ki nazaron mein sharm-e-iltija hota
kisi bhatke hue raahi ko deta daawat-e-manziil
biyaabaan ki andheri shab mein jogi ka diya hota
kisi ke kalba-e-ahzaan mein sham-e-muzmahil ban kar
kisi beemaar muflis ke sirhaane ro raha hota
sharar ban kar kisi nadaar ghar ke sard choolhe mein
b-sad ummeed-e-farda zer-e-khaakistar daba hota
yateem-e-be-navaa ki rah-guzar par ashrafi ban kar
laim-e-faaqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota
niyastaan se nikal kar hasrat-aabaad-e-tamaddun mein
gada-e-peer o naa-beena ke haathon ka asa hota
shikasta jhonpade mein baansuri-e-dahqan ki sur ban kar
sukoot-e-neem-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota
garz is hasrat-o-andoh-o-yaas-o-gham ki basti mein
kahi daur-aafreen hota kahi dard-aashna hota
duboya mujh ko hone ne baqaul-e-ghalib-e-daana
na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota
अगर इस गुलशन-ए-हस्ती में होना ही मुक़द्दर था
तो मैं ग़ुंचों की मुट्ठी में दिल-ए-बुलबुल हुआ होता
गुनाहों में ज़रर होता, दुआओं में असर होता
मोहब्बत की नज़र होता, हसीनों की अदा होता
फ़रोग़-ए-चेहरा-ए-मेहनत, ग़ुबार-ए-दामन-ए-दौलत
नम-ए-पेशानी-ए-ग़ैरत, ख़म-ए-ज़ुल्फ़-ए-रसा होता
हुआ होता किसी दस्तार-ए-कज पर फूल की तरह
और उस दस्तार-ए-कज की तमकनत पर हँस रहा होता
किसी मग़रूर की गर्दन पे होता बोझ एहसाँ का
किसी ज़ालिम के दिल में दर्द हो कर ला-दवा होता
किसी मुनइम के चेहरे पर ख़ुशी हाजत-रवाई की
किसी नादार की नज़रों में शर्म-ए-इल्तिजा होता
किसी भटके हुए राही को देता दावत-ए-मंज़िल
बयाबाँ की अँधेरी शब में जोगी का दिया होता
किसी के कल्बा-ए-अहज़ाँ में शम्-ए-मुज़्महिल बन कर
किसी बीमार मुफ़्लिस के सिरहाने रो रहा होता
शरर बन कर किसी नादार घर के सर्द चूल्हे में
''ब-सद उम्मीद-ए-फ़र्दा'' ज़ेर-ए-ख़ाकिस्तर दबा होता
यतीम-ए-बे-नवा की रह-गुज़र पर अशरफ़ी बन कर
लईम-ए-फ़ाक़ा-कश की जेब-ए-मुम्सिक से गिरा होता
नियस्तां से निकल कर हसरत-आबाद-ए-तमद्दुन में
गदा-ए-पीर ओ ना-बीना के हाथों का असा होता
शिकस्ता झोंपड़े में बाँसुरी-ए-दहक़ाँ की सुर बन कर
सुकूत-ए-नीम-शब में राज़-ए-हस्ती कह रहा होता
ग़रज़ इस हसरत-ओ-अंदोह-ओ-यास-ओ-ग़म की बस्ती में
कहीं दौर-आफ़रीं होता, कहीं दर्द-आश्ना होता
''डुबोया मुझ को होने ने'' बाक़ौल-ए-ग़ालिब-ए-दाना
''न था कुछ तो ख़ुदा था, कुछ न होता तो ख़ुदा होता''
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jameel Mazhari
our suggestion based on Jameel Mazhari
As you were reading Jalwa Shayari Shayari