ye jeevan ik raah nahin
ik doraaha hai
pehla rasta
bahut sahal hai
is mein koi mod nahin hai
ye rasta
is duniya se bejod nahin hai
is raaste par milte hain
reton ke aangan
is raaste par milte hain
rishton ke bandhan
is raaste par chalne waale
kehne ko sab sukh paate hain
lekin
tukde tukde ho kar
sab rishton mein bat jaate hain
apne palle kuchh nahin bachta
bachti hai
be-naam si uljhan
bachta hai
saanson ka eendhan
jis mein un ki apni har pehchaan
aur un ke saare sapne
jal bujhte hain
is raaste par chalne waale
khud ko kho kar jag paate hain
oopar oopar to jeete hain
andar andar mar jaate hain
doosra rasta
bahut kathin hai
is raaste mein
koi kisi ke saath nahin hai
koi sahaara dene waala nahin hai
is raaste mein
dhoop hai
koi chaanv nahin hai
jahaan tasalli bheek mein de de koi kisi ko
is raaste mein
aisa koi gaav nahin hai
ye un logon ka rasta hai
jo khud apne tak jaate hain
apne aap ko jo paate hain
tum is raaste par hi chalna
mujhe pata hai
ye rasta aasaan nahin hai
lekin mujh ko ye gham bhi hai
tum ko ab tak
kyun apni pehchaan nahin hai
ये जीवन इक राह नहीं
इक दोराहा है
पहला रस्ता
बहुत सहल है
इस में कोई मोड़ नहीं है
ये रस्ता
इस दुनिया से बेजोड़ नहीं है
इस रस्ते पर मिलते हैं
रेतों के आँगन
इस रस्ते पर मिलते हैं
रिश्तों के बंधन
इस रस्ते पर चलने वाले
कहने को सब सुख पाते हैं
लेकिन
टुकड़े टुकड़े हो कर
सब रिश्तों में बट जाते हैं
अपने पल्ले कुछ नहीं बचता
बचती है
बे-नाम सी उलझन
बचता है
साँसों का ईंधन
जिस में उन की अपनी हर पहचान
और उन के सारे सपने
जल बुझते हैं
इस रस्ते पर चलने वाले
ख़ुद को खो कर जग पाते हैं
ऊपर ऊपर तो जीते हैं
अंदर अंदर मर जाते हैं
दूसरा रस्ता
बहुत कठिन है
इस रस्ते में
कोई किसी के साथ नहीं है
कोई सहारा देने वाला नहीं है
इस रस्ते में
धूप है
कोई छाँव नहीं है
जहाँ तसल्ली भीक में दे दे कोई किसी को
इस रस्ते में
ऐसा कोई गाँव नहीं है
ये उन लोगों का रस्ता है
जो ख़ुद अपने तक जाते हैं
अपने आप को जो पाते हैं
तुम इस रस्ते पर ही चलना
मुझे पता है
ये रस्ता आसान नहीं है
लेकिन मुझ को ये ग़म भी है
तुम को अब तक
क्यूँ अपनी पहचान नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Relationship Shayari Shayari