arz-e-alam b-tarz-e-tamaasha bhi chahiye | अ'र्ज़-ए-अलम ब-तर्ज़-ए-तमाशा भी चाहिए - Jawwad Sheikh

arz-e-alam b-tarz-e-tamaasha bhi chahiye
duniya ko haal hi nahin huliya bhi chahiye

ai dil kisi bhi tarah mujhe dastiyaab kar
jitna bhi chahiye use jaisa bhi chahiye

dukh aisa chahiye ki musalsal rahe mujhe
aur us ke saath saath anokha bhi chahiye

ik zakham mujh ko chahiye mere mizaaj ka
ya'ni haraa bhi chahiye gahra bhi chahiye

ik aisa wasf chahiye jo sirf mujh mein ho
aur us mein phir mujhe yad-e-toola bhi chahiye

rabb-e-sukhan mujhe tiri yaktaai ki qasam
ab koi sun ke bolne waala bhi chahiye

kya hai jo ho gaya hoon main thoda bahut kharab
thoda bahut kharab to hona bhi chahiye

hansne ko sirf hont hi kaafi nahin rahe
javvaad-shaikh ab to kaleja bhi chahiye

अ'र्ज़-ए-अलम ब-तर्ज़-ए-तमाशा भी चाहिए
दुनिया को हाल ही नहीं हुलिया भी चाहिए

ऐ दिल किसी भी तरह मुझे दस्तियाब कर
जितना भी चाहिए उसे जैसा भी चाहिए

दुख ऐसा चाहिए कि मुसलसल रहे मुझे
और उस के साथ साथ अनोखा भी चाहिए

इक ज़ख़्म मुझ को चाहिए मेरे मिज़ाज का
या'नी हरा भी चाहिए गहरा भी चाहिए

इक ऐसा वस्फ़ चाहिए जो सिर्फ़ मुझ में हो
और उस में फिर मुझे यद-ए-तूला भी चाहिए

रब्ब-ए-सुख़न मुझे तिरी यकताई की क़सम
अब कोई सुन के बोलने वाला भी चाहिए

क्या है जो हो गया हूँ मैं थोड़ा बहुत ख़राब
थोड़ा बहुत ख़राब तो होना भी चाहिए

हँसने को सिर्फ़ होंट ही काफ़ी नहीं रहे
'जव्वाद-शैख़' अब तो कलेजा भी चाहिए

- Jawwad Sheikh
15 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari