ek tasveer ke awwal nahin dekhi jaati | एक तस्वीर कि अव्वल नहीं देखी जाती - Jawwad Sheikh

ek tasveer ke awwal nahin dekhi jaati
dekh bhi loon to musalsal nahin dekhijaati

dekhi jaati hai mohabbat me har jumbbishe dil
sirf saanso ki rehersal nahin dekhi jaati

ek to vaise badi taarikh hai khwaahish nagri
phir taveel itni ki paidal nahin dekhi jaati

aisa kuch hai bhi nahi jisse tujhe behlaaun
ye udaasi bhi musalsal nahin dekhi jaati

maine ik umr se batue mein sambhaali hui hai
wahi tasveer jo ik pal nahin dekhi jaati

ab mera dhyaan kahi aur chala jaata hai
ab koi film mukammal nahin dekhi jaati

एक तस्वीर कि अव्वल नहीं देखी जाती
देख भी लूँ तो मुसलसल नहीं देखी जाती

देखी जाती है मोहब्बत में हर जुम्बिश-ए-दिल
सिर्फ़ साँसों की रिहर्सल नहीं देखी जाती

इक तो वैसे बड़ी तारीक है ख़्वाहिश नगरी
फिर तवील इतनी कि पैदल नहीं देखी जाती

ऐसा कुछ है भी नहीं जिससे तुझे बहलाऊँ
ये उदासी भी मुसलसल नहीं देखी जाती

मैंने इक उम्र से बटुए में सँभाली हुई है
वही तस्वीर जो इक पल नहीं देखी जाती

अब मेरा ध्यान कहीं और चला जाता है
अब कोई फ़िल्म मुकम्मल नहीं देखी जाती

- Jawwad Sheikh
14 Likes

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari