jo bhi jeene ke silsile kiye the | जो भी जीने के सिलसिले किए थे - Jawwad Sheikh

jo bhi jeene ke silsile kiye the
hum ne bas aap ke liye kiye the

tab kahi ja ke apni marzi ki
pehle apnon se mashware kiye the

kabhi us ki nigaah mayassar thi
kaise kaise mushaahide kiye the

aql kuch aur kar ke baith rahi
ishq ne aur faisley kiye the

baat hum ne sooni hui sooni thi
kaam us ne kiye hue kiye the

use bhi ek khat likha gaya tha
apne aage bhi aaine kiye the

yahan kuch bhi nahin hai mere liye
tu ne kya kya mubaalga kiye the

awwal aane ka shauq tha lekin
kaam saare hi doosre kiye the

badi mushkil thi vo ghadi javvaad
hum ne kab aise faisley kiye the

जो भी जीने के सिलसिले किए थे
हम ने बस आप के लिए किए थे

तब कहीं जा के अपनी मर्ज़ी की
पहले अपनों से मशवरे किए थे

कभी उस की निगह मयस्सर थी
कैसे कैसे मुशाहिदे किए थे

अक़्ल कुछ और कर के बैठ रही
इश्क़ ने और फ़ैसले किए थे

बात हम ने सुनी हुई सुनी थी
काम उस ने किए हुए किए थे

उसे भी एक ख़त लिखा गया था
अपने आगे भी आइने किए थे

यहाँ कुछ भी नहीं है मेरे लिए
तू ने क्या क्या मुबालग़े किए थे

अव्वल आने का शौक़ था लेकिन
काम सारे ही दूसरे किए थे

बड़ी मुश्किल थी वो घड़ी 'जव्वाद'
हम ने कब ऐसे फ़ैसले किए थे

- Jawwad Sheikh
7 Likes

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari