maula kisi ko aisa muqaddar na deejio | मौला किसी को ऐसा मुक़द्दर न दीजियो - Jawwad Sheikh

maula kisi ko aisa muqaddar na deejio
dilbar nahin to phir koi deegar na deejio

apne sawaal sahal na lagne lagen use
aate bhi hon jawaab to far-far na deejio

chadar vo deejio use jis par shikan na aaye
jis par shikan na aaye vo bistar na deejio

aaye na kaar-e-shukr-guzaari pe koi harf
jab deejio to zarf se badh kar na deejio

bikhrao kuch nahin bhi simtate mere aziz
apne kisi khayal ko paikar na deejio

tafriq rahne deejio taareef-o-tanz mein
ab ke sharaab zahar mila kar na deejio

ya dil se tark keejiyo dastaar ka khayal
ya us mua'mle mein kabhi sar na deejio

kahiyo ki tu ne khoob banaai hai kaayenaat
lekin use likhaai ke number na deejio

mea'ar se siva yahan raftaar chahiye
javvaad us ko aakhiri over na deejio

मौला किसी को ऐसा मुक़द्दर न दीजियो
दिलबर नहीं तो फिर कोई दीगर न दीजियो

अपने सवाल सहल न लगने लगें उसे
आते भी हों जवाब तो फ़र-फ़र न दीजियो

चादर वो दीजियो उसे जिस पर शिकन न आए
जिस पर शिकन न आए वो बिस्तर न दीजियो

आए न कार-ए-शुक्र-गुज़ारी पे कोई हर्फ़
जब दीजियो तो ज़र्फ़ से बढ़ कर न दीजियो

बिखराओ कुछ नहीं भी सिमटते मिरे अज़ीज़
अपने किसी ख़याल को पैकर न दीजियो

तफ़रीक़ रहने दीजियो तारीफ़-ओ-तंज़ में
अब के शराब ज़हर मिला कर न दीजियो

या दिल से तर्क कीजियो दस्तार का ख़याल
या उस मुआ'मले में कभी सर न दीजियो

कहियो कि तू ने ख़ूब बनाई है काएनात
लेकिन उसे लिखाई के नंबर न दीजियो

मेआ'र से सिवा यहाँ रफ़्तार चाहिए
'जव्वाद' उस को आख़िरी ओवर न दीजियो

- Jawwad Sheikh
4 Likes

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari