nahi hai munsir is baat par yaari hamaari | नही है मुन्हसिर इस बात पर यारी हमारी - Jawwad Sheikh

nahi hai munsir is baat par yaari hamaari
ke tu karta rahe naahak tarafdaari hamaari

andhere me hame rakhna to khaamoshi se rakhna
kahi bedaar na ho jaaye bedaari hamaari

magar achha to ye hota hum ek saath rahte
bhari rahti tere kapdo se almaari hamaari

hum aasaani se khul jaaye magar ek masla hai
tumhaari satah se oopar hai tahdaari hamaari

kahaanikaar ne kirdaar hi aisa diya hai
adaakaari nahi lagti adaakaari hamaari

hame jeete chale jaane par maail karne waali
yaha koi nahi lekin sukhankaari hamaari

नही है मुन्हसिर इस बात पर यारी हमारी
के तू करता रहे नाहक तरफदारी हमारी

अंधेरे मे हमे रखना तो खामोशी से रखना
कही बेदार ना हो जाये बेदारी हमारी

मगर अच्छा तो ये होता हम एक साथ रहते
भरी रहती तेरे कपड़ो से अल्मारी हमारी

हम आसानी से खुल जाये मगर एक मसला है
तुम्हारी सतह से ऊपर है तहदारी हमारी

कहानीकार ने किरदार ही ऐसा दिया है
अदाकारी नही लगती अदाकारी हमारी

हमे जीते चले जाने पर माइल करने वाली
यहा कोई नही लेकिन सुखनकारी हमारी

- Jawwad Sheikh
18 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari