dushmanon ke hi ab sahaare hain | दुश्मनों के ही अब सहारे हैं - Joon Sahab 'Joon'

dushmanon ke hi ab sahaare hain
jang apnon se aisi haare hain

mujhko achhe bure ka ilm nahin
ye jo maujood hain piyaare hain

shakl-o-soorat na tum meri dekho
hum to jaise bhi hain tumhaare hain

vasvase dil mein ab mere uthte
kya raqeebon ke vaare nyaare hain

nazrein uski hain maano husn-e-nazar
baanhe baanhe nahin idaare hain

mere nazdeek aur nahin koi
maslan uske hi sab nazaare hain

ek muddat se muddai hai june
paanv tashveesh ne pasaare hain

दुश्मनों के ही अब सहारे हैं
जंग अपनों से ऐसी हारे हैं

मुझको अच्छे बुरे का इल्म नहीं
ये जो मौजूद हैं पियारे हैं

शक्ल-ओ-सूरत न तुम मिरी देखो
हम तो जैसे भी हैं तुम्हारे हैं

वसवसे दिल में अब मिरे उठते
क्या रक़ीबों के वारे न्यारे हैं

नज़रें उसकी हैं मानो हुस्न-ए-नज़र
बाँहें बाँहें नहीं इदारे हैं

मेरे नज़दीक और नहीं कोई
मसलन उसके ही सब नज़ारे हैं

एक मुद्दत से मुद्दई है जून
पाँव तशवीश ने पसारे हैं

- Joon Sahab 'Joon'
2 Likes

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Joon Sahab 'Joon'

As you were reading Shayari by Joon Sahab 'Joon'

Similar Writers

our suggestion based on Joon Sahab 'Joon'

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari