kya gazab hai husn ke beemaar hone ki sada
jaise kacchi neend se bedaar hone ki ada
inkisaar-e-husn palkon ke jhapakne mein nihaan
neem-wa beemaar aankhon se muravvat si ayaan
jumbish-e-mizgaan mein ghaltan saaz-e-gham ka zer o bam
khaamoshi mein par-fishaan ifaa-e-paimaan ki qasam
ehtiraam-e-ishq ki rau dil-nasheen awaaz mein
ek feeke-pan ka sannaata dayaar-e-naaz mein
al-amaan aankhon ki neem-afsurdah si afsun-gari
ek dhundla sa tabassum ik thaki si dilbari
choodiyaan dheeli dilaai par shikan maathe pe haath
lab pe khushki rukh pe soondha-pan nazar mein iltifaat
halki halki jhalakiyaan rukhsaar par yun noor ki
jaise gul par subh-e-kaazib ki suhaani chaandni
le raha hai karvatein aariz mein yun rang-e-shabaab
jis tarah mauj-e-khiraamaan par ziyaa-e-mahtaab
husn yun khoya hua sa bazm-e-mehsoosaat mein
jaise dono waqt milte hoon bhari barsaat mein
yun hai ik raushan nami si chashm-e-sehar-andaaz mein
subh ko shabnam ho jaise ma'ariz-e-parwaaz mein
jaise kohre mein koi taabinda manzar door ka
jaise pichhli raat ke seene pe dora noor ka
aise izmehlaal par duniya ki barnaai nisaar
aisi beemaari par ejaz-e-masihaai nisaar
क्या ग़ज़ब है हुस्न के बीमार होने की सदा
जैसे कच्ची नींद से बेदार होने की अदा
इंकिसार-ए-हुस्न पलकों के झपकने में निहाँ
नीम-वा बीमार आँखों से मुरव्वत सी अयाँ
जुम्बिश-ए-मिज़्गाँ में ग़लताँ साज़-ए-ग़म का ज़ेर ओ बम
ख़ामुशी में पर-फ़िशाँ ईफ़ा-ए-पैमाँ की क़सम
एहतिराम-ए-इश्क़ की रौ दिल-नशीं आवाज़ में
एक फीके-पन का सन्नाटा दयार-ए-नाज़ में
अल-अमाँ आँखों की नीम-अफ़्सुर्दा सी अफ़्सूँ-गरी
एक धुँदला सा तबस्सुम इक थकी सी दिलबरी
चूड़ियाँ ढीली दिलाई पर शिकन माथे पे हात
लब पे ख़ुश्की रुख़ पे सूँधा-पन नज़र में इल्तिफ़ात
हल्की हल्की झलकियाँ रुख़्सार पर यूँ नूर की
जैसे गुल पर सुब्ह-ए-काज़िब की सुहानी चाँदनी
ले रहा है करवटें आरिज़ में यूँ रंग-ए-शबाब
जिस तरह मौज-ए-ख़िरामाँ पर ज़िया-ए-माहताब
हुस्न यूँ खोया हुआ सा बज़्म-ए-महसूसात में
जैसे दोनों वक़्त मिलते हूँ भरी बरसात में
यूँ है इक रौशन नमी सी चश्म-ए-सेहर-अंदाज़ में
सुब्ह को शबनम हो जैसे मअरिज़-ए-परवाज़ में
जैसे कोहरे में कोई ताबिंदा मंज़र दूर का
जैसे पिछली रात के सीने पे डोरा नूर का
ऐसे इज़्मेहलाल पर दुनिया की बरनाई निसार
ऐसी बीमारी पर एजाज़-ए-मसीहाई निसार
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Josh Malihabadi
our suggestion based on Josh Malihabadi
As you were reading Nazakat Shayari Shayari