aaj phir shaakh se gire patte
aur mitti mein mil gaye patte
jaane kis dasht ki talash mein hain
regzaaron mein cheekhte patte
kal jinhen aasmaan pe dekha tha
aaj paataal mein mile patte
apni awaaz hi se khauf-zada
shaakh-dar-shaakh kaanpate patte
mujh ko ik barg-e-khushk bhi na mila
ab kahaan baagh mein hare patte
saare gulshan ko de gaye sona
aur khud khaak ban gaye patte
kaif veeraani-e-gulistaan bhi
baaz auqaat le ude patte
आज फिर शाख़ से गिरे पत्ते
और मिट्टी में मिल गए पत्ते
जाने किस दश्त की तलाश में हैं
रेगज़ारों में चीख़ते पत्ते
कल जिन्हें आसमाँ पे देखा था
आज पाताल में मिले पत्ते
अपनी आवाज़ ही से ख़ौफ़-ज़दा
शाख़-दर-शाख़ काँपते पत्ते
मुझ को इक बर्ग-ए-ख़ुश्क भी न मिला
अब कहाँ बाग़ में हरे पत्ते
सारे गुलशन को दे गए सोना
और ख़ुद ख़ाक बन गए पत्ते
'कैफ़' वीरानी-ए-गुलिस्ताँ भी
बाज़ औक़ात ले उड़े पत्ते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Gulshan Shayari Shayari