duniya mein kuchh apne hain kuchh begaane alfaaz | दुनिया में कुछ अपने हैं कुछ बेगाने अल्फ़ाज़

  - Kaif Ahmed Siddiqui

duniya mein kuchh apne hain kuchh begaane alfaaz
kis ko itni furqat hai jo pahchaane alfaaz

reg-e-alaamat mein bhi jal kar pa na sake mafhoom
sehra-e-ma'ni mein bhi bhatke anjaane alfaaz

dasht-e-azl se dasht-e-abad tak chaan chuka mein khaak
aur kahaan le jaayenge ab bhatkaane alfaaz

be-m'ani maahol mein rah kar zehan hua mauf
mujh ko bhi paagal kar denge deewane alfaaz

akshar aadhi raat mein le kar kuchh pathreeli khwaab
sheesha-e-zehan se aa jaate hain takraane alfaaz

sher-o-sukhan ke may-khaane ka main hoon ik may-khwaar
mere liye baada hai takhayyul paimaane alfaaz

kaif kabhi ik sher mein dhalna hota hai dushwaar
aur kabhi khud ban jaate hain afsaane alfaaz

दुनिया में कुछ अपने हैं कुछ बेगाने अल्फ़ाज़
किस को इतनी फ़ुर्सत है जो पहचाने अल्फ़ाज़

रेग-ए-अलामत में भी जल कर पा न सके मफ़्हूम
सहरा-ए-मअ'नी में भी भटके अनजाने अल्फ़ाज़

दश्त-ए-अज़ल से दश्त-ए-अबद तक छान चुका में ख़ाक
और कहाँ ले जाएँगे अब भटकाने अल्फ़ाज़

बे-म'अनी माहौल में रह कर ज़ेहन हुआ माऊफ़
मुझ को भी पागल कर देंगे दीवाने अल्फ़ाज़

अक्सर आधी रात में ले कर कुछ पथरीले ख़्वाब
शीशा-ए-ज़ेहन से आ जाते हैं टकराने अल्फ़ाज़

शेर-ओ-सुख़न के मय-ख़ाने का मैं हूँ इक मय-ख़्वार
मेरे लिए बादा है तख़य्युल पैमाने अल्फ़ाज़

'कैफ़' कभी इक शेर में ढलना होता है दुश्वार
और कभी ख़ुद बन जाते हैं अफ़्साने अल्फ़ाज़

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari