ham aaj kuchh haseen saraabo mein kho gaye
aankhen khuliin to jaagte khwaabon mein kho gaye
ham safha-e-hayaat se jab be-nishaan hue
lafzon ki rooh ban ke kitaabon mein kho gaye
aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil
khushboo ka rang pa ke gulaabon mein kho gaye
dar-asl barshgaal ke tum aftaab the
barsaat jab hui to sahaabo mein kho gaye
nikle the jo bhi aaj talash-e-sawaab mein
vo zindagi ke sakht azaabon mein kho gaye
dil ko thi ek shehr-e-tamanna ki justuju
lekin ham aarzoo ke kharaabon mein kho gaye
jab mas'ala hayaat ka kuchh hal na ho saka
ham kaif falsafe ki kitaabon mein kho gaye
हम आज कुछ हसीन सराबों में खो गए
आँखें खुलीं तो जागते ख़्वाबों में खो गए
हम सफ़्हा-ए-हयात से जब बे-निशाँ हुए
लफ़्ज़ों की रूह बन के किताबों में खो गए
आईना-ए-बहार के कुछ अक्स-ए-मुज़्महिल
ख़ुशबू का रंग पा के गुलाबों में खो गए
दर-अस्ल बर्शगाल के तुम आफ़्ताब थे
बरसात जब हुई तो सहाबों में खो गए
निकले थे जो भी आज तलाश-ए-सवाब में
वो ज़िंदगी के सख़्त अज़ाबों में खो गए
दिल को थी एक शहर-ए-तमन्ना की जुस्तुजू
लेकिन हम आरज़ू के ख़राबों में खो गए
जब मसअला हयात का कुछ हल न हो सका
हम 'कैफ़' फ़लसफ़े की किताबों में खो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Zindagi Shayari Shayari