ham ek dhalti hui dhoop ke ta'aqub mein
hain tez-gaam saaye saaye jaate hain
chaman mein shiddat-e-dard-e-numood se gunche
tadap rahe hain magar muskuraaye jaate hain
main vo khizaan ka barhana-badan shajar hoon jise
libaas-e-zakham-e-bahaaran pahnaaye jaate hain
shafaq ki jheel mein jab bhi hai doobta suraj
to paas dhoop hi jaati na saaye jaate hain
ye zindagi vo tadapati ghazal hai kaif jise
har ek saaz-e-hawadis pe gaaye jaate hain
हम एक ढलती हुई धूप के तआक़ुब में
हैं तेज़-गाम साए साए जाते हैं
चमन में शिद्दत-ए-दर्द-ए-नुमूद से ग़ुंचे
तड़प रहे हैं मगर मुस्कुराए जाते हैं
मैं वो ख़िज़ाँ का बरहना-बदन शजर हूँ जिसे
लिबास-ए-ज़ख़्म-ए-बहाराँ पहनाए जाते हैं
शफ़क़ की झील में जब भी है डूबता सूरज
तो पास धूप ही जाती न साए जाते हैं
ये ज़िंदगी वो तड़पती ग़ज़ल है 'कैफ़' जिसे
हर एक साज़-ए-हवादिस पे गाए जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Gulshan Shayari Shayari