jo sada goonjti thi kaanon mein
munjamid ho gai zabaanon mein
lamha lamha pighal rahi hai hayaat
khwaab ki yakh-zada chataanon mein
kitne jazbaat ho gaye aahan
un masheenon ke kaar-khaano mein
shahad ka ghoont ban gaya hoga
zaa'ika zahar ka zabaanon mein
khaamoshi bhoot ban ke rahti hai
aaj insaan ke makaanon mein
ik haseen phool ban ke girti hai
barq bhi mere aashiyanoon mein
fan ko neelaam kar diya aakhir
kaif logon ne chand aano'n mein
जो सदा गूँजती थी कानों में
मुंजमिद हो गई ज़बानों में
लम्हा लम्हा पिघल रही है हयात
ख़्वाब की यख़-ज़दा चटानों में
कितने जज़्बात हो गए आहन
उन मशीनों के कार-ख़ानों में
शहद का घूँट बन गया होगा
ज़ाइक़ा ज़हर का ज़बानों में
ख़ामुशी भूत बन के रहती है
आज इंसान के मकानों में
इक हसीं फूल बन के गिरती है
बर्क़ भी मेरे आशियानों में
फ़न को नीलाम कर दिया आख़िर
'कैफ़' लोगों ने चंद आनों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Hunar Shayari Shayari