khatm chhutti madarse ka dar khula
aql-o-daanish ilm-o-fan ka ghar khula
phir wahi school ki sar-garmiyaan
phir wahi ta'leem ka daftar khula
meri ta'leemi liyaqat ka bharam
imtihaan ke baad hi akshar khula
master sahab ke gusse ka sabab
be-khata ma'soom bacchon par khula
meri aankhen neend se bojhal hui
jab nazar aaya koi bistar khula
chaand taaron ko hasi aane lagi
mera basta jab khuli chat par khula
jee mein aata hai lagaaun ik chapat
dekhta hoon jab kisi ka sar khula
kaif meri naak mein dam aa gaya
jab kabhi mujh se koi teacher khula
ख़त्म छुट्टी मदरसे का दर खुला
अक़्ल-ओ-दानिश इल्म-ओ-फ़न का घर खुला
फिर वही स्कूल की सर-गरमियाँ
फिर वही ता'लीम का दफ़्तर खुला
मेरी ता'लीमी लियाक़त का भरम
इम्तिहाँ के बाद ही अक्सर खुला
मास्टर साहब के ग़ुस्से का सबब
बे-ख़ता मा'सूम बच्चों पर खुला
मेरी आँखें नींद से बोझल हुईं
जब नज़र आया कोई बिस्तर खुला
चाँद तारों को हँसी आने लगी
मेरा बस्ता जब खुली छत पर खुला
जी में आता है लगाऊँ इक चपत
देखता हूँ जब किसी का सर खुला
'कैफ़' मेरी नाक में दम आ गया
जब कभी मुझ से कोई टीचर खुला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Khwab Shayari Shayari