khushi ki aarzoo kya dil mein thehre
tire gham ne bitha rakhe hain pahre
kahaan chhod aayi meri teera-bakhti
vo raatein noor ki vo din sunhare
meri jaanib na dekho muskuraa kar
hue jaate hain dil ke zakham gehre
nazar par teergi chhaai hui hai
magar aankhon mein hain sapne sunhare
jidhar bhi dekhta hoon kaif udhar hi
ghire hain gham ke baadal gehre gehre
ख़ुशी की आरज़ू क्या दिल में ठहरे
तिरे ग़म ने बिठा रक्खे हैं पहरे
कहाँ छोड़ आई मेरी तीरा-बख़्ती
वो रातें नूर की वो दिन सुनहरे
मिरी जानिब न देखो मुस्कुरा कर
हुए जाते हैं दिल के ज़ख़्म गहरे
नज़र पर तीरगी छाई हुई है
मगर आँखों में हैं सपने सुनहरे
जिधर भी देखता हूँ 'कैफ़' उधर ही
घिरे हैं ग़म के बादल गहरे गहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Aankhein Shayari Shayari