kya jaane kitne hi rangon mein doobi hai | क्या जाने कितने ही रंगों में डूबी है

  - Kaif Ahmed Siddiqui

kya jaane kitne hi rangon mein doobi hai
rang badalti duniya mein jo yak-rangi hai

manzar manzar dhalt jaata hai peela-pan
chehra chehra sabz udaasi phail rahi hai

peeli saansen bhuri aankhen surkh nigaahen
unnaabi ehsaas tabeeyat taarikhi hai

dekh gulaabi sannaaton mein rahne waale
aawazon ki khaamoshi kitni kaali hai

aaj safedi bhi kaala malboos pahan kar
apni chamakti rangat ka maatam karti hai

saari khabron mein jaise ik zahar bhara hai
aaj akhbaaron ki har surkhi neeli hai

kaif kahaan tak tum khud ko be-daagh rakhkhoge
ab to saari duniya ke munh par syaahi hai

क्या जाने कितने ही रंगों में डूबी है
रंग बदलती दुनिया में जो यक-रंगी है

मंज़र मंज़र ढलता जाता है पीला-पन
चेहरा चेहरा सब्ज़ उदासी फैल रही है

पीली साँसें भूरी आँखें सुर्ख़ निगाहें
उन्नाबी एहसास तबीअत तारीख़ी है

देख गुलाबी सन्नाटों में रहने वाले
आवाज़ों की ख़ामोशी कितनी काली है

आज सफ़ेदी भी काला मल्बूस पहन कर
अपनी चमकती रंगत का मातम करती है

सारी ख़बरों में जैसे इक ज़हर भरा है
आज अख़बारों की हर सुर्ख़ी नीली है

'कैफ़' कहाँ तक तुम ख़ुद को बे-दाग़ रख्खोगे
अब तो सारी दुनिया के मुँह पर स्याही है

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari