mujhe naql par bhi itna agar ikhtiyaar hota | मुझे नक़्ल पर भी इतना अगर इख़्तियार होता

  - Kaif Ahmed Siddiqui

mujhe naql par bhi itna agar ikhtiyaar hota
kabhi feel imtihaan mein na main baar baar hota

jo main feel ho gaya to sabhi de rahe hain taane
koi dil-nawaz hota koi gham-gusaar hota

mujhe aaj itni nafrat se na dekhti ye duniya
jo padhaai se zara bhi mere dil ko pyaar hota

mere master na hote jo uloom-o-fan mein daana
kabhi maula-bakhsh-saahab ka na main shikaar hota

vo padhaate waqt darje mein hazaar baar barase
jo mujhe bhi cheenk aati unhen naagawaar hota

na main tandurust hota na kabhi school jaata
kabhi sar mein dard rehta to kabhi bukhaar hota

kabhi madarse mein aata koi aisa chaat waala
ki jo muft mein khilaata na kabhi udhaar hota

ye gadha jo apni ghaflat se hai bewaqoof itna
jo ye khud ko jaan jaata bada hoshiyaar hota

tire ghar mein kaif tera koi qadr-daan nahin hai
jo watan se door hota to bada vaqaar hota

मुझे नक़्ल पर भी इतना अगर इख़्तियार होता
कभी फ़ेल इम्तिहाँ में न मैं बार बार होता

जो मैं फ़ेल हो गया तो सभी दे रहे हैं ता'ने
कोई दिल-नवाज़ होता कोई ग़म-गुसार होता

मुझे आज इतनी नफ़रत से न देखती ये दुनिया
जो पढ़ाई से ज़रा भी मिरे दिल को प्यार होता

मिरे मास्टर न होते जो उलूम-ओ-फ़न में दाना
कभी मौला-बख़्श-साहब का न मैं शिकार होता

वो पढ़ाते वक़्त दर्जे में हज़ार बार बरसे
जो मुझे भी छींक आती उन्हें नागवार होता

न मैं तंदुरुस्त होता न कभी स्कूल जाता
कभी सर में दर्द रहता तो कभी बुख़ार होता

कभी मदरसे में आता कोई ऐसा चाट वाला
कि जो मुफ़्त में खिलाता न कभी उधार होता

ये गधा जो अपनी ग़फ़्लत से है बेवक़ूफ़ इतना
जो ये ख़ुद को जान जाता बड़ा होशियार होता

तिरे घर में 'कैफ़' तेरा कोई क़द्र-दाँ नहीं है
जो वतन से दूर होता तो बड़ा वक़ार होता

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari