naam likha liya to phir karte ho haaye haaye kyun | नाम लिखा लिया तो फिर करते हो हाए हाए क्यों

  - Kaif Ahmed Siddiqui

naam likha liya to phir karte ho haaye haaye kyun
padhna na tha tumhein agar darje mein padhne aaye kyun

kyunkar ham imtihaan den soyeinge ja ke baagh mein
padhne ko aadhi raat tak koi hamein jagaae kyun

baithe hain apni seat par kaise bhagaayein master
aaye hain de ke fees ham koi hamein bhagaaye kyun

cheekhenge khoob ham yahan chahe khafa hon mehmaan
nafrat ho jis ko shor se ghar mein hamaare aaye kyun

koi padosi tang ho chahe kisi se jang ho
ghar hai ye apne baap ka koi hamein chupaaye kyun

kaana khuda ne kar diya is mein hai apni kya khata
gaali bakenge khoob ham koi hamein chidraaye kyun

dekho to pet ban gaya aakhir ghubaara gas ka
khaate ho itna gosht kyun peete ho itni chaai kyun

saathi hon ya asaatiza aaye kisi ko kya maza
darje mein koi be-mahal kaif ki ghazlein gaaye kyun

नाम लिखा लिया तो फिर करते हो हाए हाए क्यों
पढ़ना न था तुम्हें अगर दर्जे में पढ़ने आए क्यों

क्यूँकर हम इम्तिहान दें सोएँगे जा के बाग़ में
पढ़ने को आधी रात तक कोई हमें जगाए क्यों

बैठे हैं अपनी सीट पर कैसे भगाएँ मास्टर
आए हैं दे के फ़ीस हम कोई हमें भगाए क्यों

चीख़ेंगे ख़ूब हम यहाँ चाहे ख़फ़ा हों मेहमाँ
नफ़रत हो जिस को शोर से घर में हमारे आए क्यों

कोई पड़ोसी तंग हो चाहे किसी से जंग हो
घर है ये अपने बाप का कोई हमें चुपाए क्यों

काना ख़ुदा ने कर दिया इस में है अपनी क्या ख़ता
गाली बकेंगे ख़ूब हम कोई हमें चिड़ाए क्यों

देखो तो पेट बन गया आख़िर ग़ुबारा गैस का
खाते हो इतना गोश्त क्यों पीते हो इतनी चाय क्यों

साथी हों या असातिज़ा आए किसी को क्या मज़ा
दर्जे में कोई बे-महल 'कैफ़' की ग़ज़लें गाए क्यों

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari