nikli jo aaj tak na kisi ki zabaan se | निकली जो आज तक न किसी की ज़बान से

  - Kaif Ahmed Siddiqui

nikli jo aaj tak na kisi ki zabaan se
takra rahi hai baat wahi mere kaan se

sota raha main khauf ki chadar lapet kar
aaseb cheekhte rahe khaali makaan se

akshar main ek zahar bujhe teer ki tarah
nikla hoon haadsaat ki tirchi kamaan se

faila hua hai hadd-e-nazar tak sukoot-e-marg
awaaz de raha hai koi aasmaan se

tanhaaiyon ko saunp ke tareekiyo ka zahar
raaton ko bhag aaye ham apne makaan se

mumkin hai khoob khul ke ho guft-o-shunid aaj
vo bhi khafa hai ham bhi hain kuchh bad-gumaan se

ai kaif jin ko bugz nayi shayari se hai
vo bhi tire kalaam ko padhte hain dhyaan se

निकली जो आज तक न किसी की ज़बान से
टकरा रही है बात वही मेरे कान से

सोता रहा मैं ख़ौफ़ की चादर लपेट कर
आसेब चीख़ते रहे ख़ाली मकान से

अक्सर मैं एक ज़हर बुझे तीर की तरह
निकला हूँ हादसात की तिरछी कमान से

फैला हुआ है हद्द-ए-नज़र तक सुकूत-ए-मर्ग
आवाज़ दे रहा है कोई आसमान से

तन्हाइयों को सौंप के तारीकियों का ज़हर
रातों को भाग आए हम अपने मकान से

मुमकिन है ख़ूब खुल के हो गुफ़्त-ओ-शुनीद आज
वो भी ख़फ़ा है हम भी हैं कुछ बद-गुमान से

ऐ 'कैफ़' जिन को बुग़्ज़ नई शायरी से है
वो भी तिरे कलाम को पढ़ते हैं ध्यान से

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari