sard jazbe bujhe bujhe chehre | सर्द जज़्बे बुझे बुझे चेहरे

  - Kaif Ahmed Siddiqui

sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda hain mar gaye chehre

aaj ke daur ki alaamat hain
falsafi zehan sochte chehre

sail-e-gham se bhi saaf ho na sake
gard-aalood malgaje chehre

yakh-zada soch ke dareechon mein
kis ne dekhe hain kaanpate chehre

ik baras bhi abhi nahin guzra
kitni jaldi badal gaye chehre

main ne akshar khud apne chehre par
doosron ke saja liye chehre

vo to nikle bahut hi bad-soorat
kaif dekhe the jo saje chehre

सर्द जज़्बे बुझे बुझे चेहरे
जिस्म ज़िंदा हैं मर गए चेहरे

आज के दौर की अलामत हैं
फ़लसफ़ी ज़ेहन सोचते चेहरे

सैल-ए-ग़म से भी साफ़ हो न सके
गर्द-आलूद मल्गजे चेहरे

यख़-ज़दा सोच के दरीचों में
किस ने देखे हैं काँपते चेहरे

इक बरस भी अभी नहीं गुज़रा
कितनी जल्दी बदल गए चेहरे

मैं ने अक्सर ख़ुद अपने चेहरे पर
दूसरों के सजा लिए चेहरे

वो तो निकले बहुत ही बद-सूरत
'कैफ़' देखे थे जो सजे चेहरे

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari