saare din dasht-e-tajassus mein bhatk kar so gaya
shaam ki aaghosh mein suraj bhi thak kar so gaya
aakhir-e-shab main bhi kha kar khwaab-aavar goliyaan
chand lamhe nashsha-e-gham se bahak kar so gaya
ye sukoot-e-shaam ye hangaama-e-zehan-e-bashar
rooh hai bedaar lekin jism thak kar so gaya
aakhir is daur-e-pur-aashob ka har aadmi
khwaab-e-mustaqbil ke jungle mein bhatk kar so gaya
chand din gulshan mein naghmaat-e-masarrat chhed kar
shaakh-e-gham par rooh ka panchi chahak kar so gaya
aakhirsh saare chaman ko de ke husn-e-zindagi
maut ke bistar pe har guncha mahak kar so gaya
zindagi bhar ab andheri raat mein hai jaagna
ab to qismat ka sitaara bhi chamak kar so gaya
paikar-e-alfaaz mein ik aag dahkaata hua
kaaghazi sehra mein ik shola bhadak kar so gaya
kaif yun aaghosh-e-fan mein zehan ko neend aa gai
jaise maa ki god mein baccha sisak kar so gaya
सारे दिन दश्त-ए-तजस्सुस में भटक कर सो गया
शाम की आग़ोश में सूरज भी थक कर सो गया
आख़िर-ए-शब मैं भी खा कर ख़्वाब-आवर गोलियाँ
चंद लम्हे नश्शा-ए-ग़म से बहक कर सो गया
ये सुकूत-ए-शाम ये हंगामा-ए-ज़ेहन-ए-बशर
रूह है बेदार लेकिन जिस्म थक कर सो गया
आख़िर इस दौर-ए-पुर-आशोब का हर आदमी
ख़्वाब-ए-मुस्तक़बिल के जंगल में भटक कर सो गया
चंद दिन गुलशन में नग़मात-ए-मसर्रत छेड़ कर
शाख़-ए-ग़म पर रूह का पंछी चहक कर सो गया
आख़िरश सारे चमन को दे के हुस्न-ए-ज़िंदगी
मौत के बिस्तर पे हर ग़ुंचा महक कर सो गया
ज़िंदगी भर अब अँधेरी रात में है जागना
अब तो क़िस्मत का सितारा भी चमक कर सो गया
पैकर-ए-अल्फ़ाज़ में इक आग दहकाता हुआ
काग़ज़ी सहरा में इक शोला भड़क कर सो गया
'कैफ़' यूँ आग़ोश-ए-फ़न में ज़ेहन को नींद आ गई
जैसे माँ की गोद में बच्चा सिसक कर सो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Andhera Shayari Shayari