suraj aankhen khol raha hai sukhe hue darakhton mein | सूरज आँखें खोल रहा है सूखे हुए दरख़्तों में

  - Kaif Ahmed Siddiqui

suraj aankhen khol raha hai sukhe hue darakhton mein
saaye raakh bane jaate hain jeete hue darakhton mein

aaj kuchh aise shole bhadke baarish ke har qatre se
dhoop panaahen maang rahi hai bheege hue darakhton mein

khaamoshi bhi khauf-zada hai aasebi aawazon se
sannaate bhi kaanp rahe hain sahme hue darakhton mein

tanhaai ki dulhan apni maang sajaaye baithi hai
veeraani aabaad hui hai ujde hue darakhton mein

aaj to saare baagh mein khwaab-e-marg ka nashsha taari hai
lekin koi jaag raha hai soye hue darakhton mein

kaun museebat ke aam mein saath kisi ka deta hai
chand parinde cheekh rahe hain girte hue darakhton mein

सूरज आँखें खोल रहा है सूखे हुए दरख़्तों में
साए राख बने जाते हैं जीते हुए दरख़्तों में

आज कुछ ऐसे शोले भड़के बारिश के हर क़तरे से
धूप पनाहें माँग रही है भीगे हुए दरख़्तों में

ख़ामोशी भी ख़ौफ़-ज़दा है आसेबी आवाज़ों से
सन्नाटे भी काँप रहे हैं सहमे हुए दरख़्तों में

तन्हाई की दुल्हन अपनी माँग सजाए बैठी है
वीरानी आबाद हुई है उजड़े हुए दरख़्तों में

आज तो सारे बाग़ में ख़्वाब-ए-मर्ग का नश्शा तारी है
लेकिन कोई जाग रहा है सोए हुए दरख़्तों में

कौन मुसीबत के आम में साथ किसी का देता है
चंद परिंदे चीख़ रहे हैं गिरते हुए दरख़्तों में

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari