nateeja sun ke kai log bad-havaas hue | नतीजा सुन के कई लोग बद-हवास हुए

  - Kaif Ahmed Siddiqui

nateeja sun ke kai log bad-havaas hue
khuda ka shukr hai ham imtihaan mein paas hue
sila mila hai hamein saal bhar ki mehnat ka
chamak raha hai sitaara hamaari qismat ka
yahi to waqt mila hai hamein masarrat ka
jo feel ho gaye vo kis qadar udaas hue
khuda ka shukr hai ham imtihaan mein paas hue
vo imtihaan mein raaton ko jaag kar padhna
vo neend aankhon mein chhaai hui magar padhna
vo aadhi raat se bistar pe ta-sehr padhna
zahe-naseeb vo lamhaat ham ko raas hue
khuda ka shukr hai ham imtihaan mein paas hue
jo khel-kood mein din-raat choor rahte the
har ek khel mein shaamil zaroor rahte the
jo subh-o-shaam kitaabon se door rahte the
jahaan mein aaj wahi mubtala-e-yaas hue
khuda ka shukr hai ham imtihaan mein paas hue
jinhen tha apni liyaqat pe e'tibaar bahut
jinhen khud apne qalam par tha ikhtiyaar bahut
jo apne aap ko samjhe the hoshiyaar bahut
unhin ke hosh ude aur gum hawas hue
khuda ka shukr hai ham imtihaan mein paas hue

नतीजा सुन के कई लोग बद-हवास हुए
ख़ुदा का शुक्र है हम इम्तिहाँ में पास हुए
सिला मिला है हमें साल भर की मेहनत का
चमक रहा है सितारा हमारी क़िस्मत का
यही तो वक़्त मिला है हमें मसर्रत का
जो फ़ेल हो गए वो किस क़दर उदास हुए
ख़ुदा का शुक्र है हम इम्तिहाँ में पास हुए
वो इम्तिहान में रातों को जाग कर पढ़ना
वो नींद आँखों में छाई हुई मगर पढ़ना
वो आधी रात से बिस्तर पे ता-सहर पढ़ना
ज़हे-नसीब वो लम्हात हम को रास हुए
ख़ुदा का शुक्र है हम इम्तिहाँ में पास हुए
जो खेल-कूद में दिन-रात चूर रहते थे
हर एक खेल में शामिल ज़रूर रहते थे
जो सुब्ह-ओ-शाम किताबों से दूर रहते थे
जहाँ में आज वही मुब्तला-ए-यास हुए
ख़ुदा का शुक्र है हम इम्तिहाँ में पास हुए
जिन्हें था अपनी लियाक़त पे ए'तिबार बहुत
जिन्हें ख़ुद अपने क़लम पर था इख़्तियार बहुत
जो अपने आप को समझे थे होशियार बहुत
उन्हीं के होश उड़े और गुम हवास हुए
ख़ुदा का शुक्र है हम इम्तिहाँ में पास हुए

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari