sochta hoon
waqt ki gardan pakad kar
reshmi skaarf ka fanda laga kar
kheench luun
aur itni zor se cheekhoon
zameen se
aasmaan tak
sirf meri cheekh hi ka shor goonje
waqt ki marti hui awaaz koi sun na paaye
sochta hoon
wusaat-e-aafaq mein parwaaz kar ke
raat ki aankhon mein taarikee ka parda daal kar main
chaand taaron ko chura laaun zameen par
aur thodi der
bacchon ki tarah khush ho ke kheloon
khelne se bhi jab apna dil na bahle
ek patthar par patkh kar
har khilone ko main chakna-choor kar doon
sochta hoon
aasmaan se cheen kar
jalte hue suraj ki thaali
ek kashti ki tarah
gehre samundar mein chalaaun
aur us par saari duniya ko bitha kar
ghark kar doon
sochta hoon
sochte hi sochte
main khud hi ik din
soch ke aatish-kada mein jal na jaaun
सोचता हूँ
वक़्त की गर्दन पकड़ कर
रेशमी स्कार्फ़ का फंदा लगा कर
खींच लूँ
और इतनी ज़ोर से चीख़ूँ
ज़मीं से
आसमाँ तक
सिर्फ़ मेरी चीख़ ही का शोर गूँजे
वक़्त की मरती हुई आवाज़ कोई सुन न पाए
सोचता हूँ
वुसअत-ए-आफ़ाक़ में पर्वाज़ कर के
रात की आँखों में तारीकी का पर्दा डाल कर मैं
चाँद तारों को चुरा लाऊँ ज़मीं पर
और थोड़ी देर
बच्चों की तरह ख़ुश हो के खेलूँ
खेलने से भी जब अपना दिल न बहले
एक पत्थर पर पटख़ कर
हर खिलौने को मैं चकना-चूर कर दूँ
सोचता हूँ
आसमाँ से छीन कर
जलते हुए सूरज की थाली
एक कश्ती की तरह
गहरे समुंदर में चलाऊँ
और उस पर सारी दुनिया को बिठा कर
ग़र्क़ कर दूँ
सोचता हूँ
सोचते ही सोचते
मैं ख़ुद ही इक दिन
सोच के आतिश-कदा में जल न जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Falak Shayari Shayari