sab zabaanon ki jaan hai urdu
kitni pyaari zabaan hai urdu
saare alfaaz qeemti gauhar
jauhri ki dukaan hai urdu
ye taraashe hue haseen jumle
jaise heero ki kaan hai urdu
ek ik lafz misl-e-sheer-o-shakar
kitni meethi zabaan hai urdu
saari duniya mein jis ki shohrat hai
fakhr-e-hindostaan hai urdu
khwaah hindu ho sikh ho ya muslim
har bashar ki zabaan hai urdu
shahr-e-dilli ka sirf dil hi nahin
saare bharat ki jaan hai urdu
hyderabad-o-lucknow hi nahin
har jagah ki zabaan hai urdu
kitni sadiyaan guzar chuki lekin
aaj tak naujawaan hai urdu
kaif urdu ke jo mukhalif hain
un ke ghar ki zabaan hai urdu
सब ज़बानों की जान है उर्दू
कितनी प्यारी ज़बान है उर्दू
सारे अल्फ़ाज़ क़ीमती गौहर
जौहरी की दुकान है उर्दू
ये तराशे हुए हसीं जुमले
जैसे हीरों की कान है उर्दू
एक इक लफ़्ज़ मिस्ल-ए-शीर-ओ-शकर
कितनी मीठी ज़बान है उर्दू
सारी दुनिया में जिस की शोहरत है
फ़ख़्र-ए-हिन्दोस्तान है उर्दू
ख़्वाह हिन्दू हो सिख हो या मुस्लिम
हर बशर की ज़बान है उर्दू
शहर-ए-दिल्ली का सिर्फ़ दिल ही नहीं
सारे भारत की जान है उर्दू
हैदराबाद-ओ-लखनऊ ही नहीं
हर जगह की ज़बान है उर्दू
कितनी सदियाँ गुज़र चुकीं लेकिन
आज तक नौजवान है उर्दू
'कैफ़' उर्दू के जो मुख़ालिफ़ हैं
उन के घर की ज़बान है उर्दू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading haseen Shayari Shayari