ardaas-e-dil
ai khuda tu mujhko
nek raaste par chala de
zindagi mein sahi-ghalat ka
farq mujhko batla de
bas ik tamannaa hai meri
tu kar le usko bhi qubool
har waqt teri bandagi ho
ban jaaun tere qadmon ki dhool
tere banaaye is dimaagh mein
kuchh aise khayaalaat na den
ki mere kisi faisley par
mere apne hi mera saath na den
chalta rahoon tere naqsh-e-qadam par
bulandiyon ko kar haasil
har ummeedon par khara utarkar
fateh karoon main har manzil
tu hi meri zindagi ki
har nayi shuruaat banen
hai dua ye meri tujhse
ki tujhse hi har baat banen
ho saamne mere sawaal kai
aur tu hi mera jawaab banen
jo dekhe maine aankh kholkar
sacche har vo khwaab banen
teri rahmaton ka har pal
shukrguzaar main hoon maula
zindagi hi de di tune
isse khaas kuchh kya hoga
tere ehsaanon ka ab main
nek kaamon se ahkaam karoon
main khush rahoon aur koi naakhush
aisa na koi kaam karoon
agar kahi is zindagi mein
koi ghalti mujhse ho jaaye
jisse ki is dil ke armaan
door shikhar mein kho jaaye
phir agar teri koi baargaah mein
haath maafi mein uth jaaye to
maaf hamein tu kar dena
dil maafi maangne mein sharmaaye to
"अरदास-ए-दिल"
ऐ ख़ुदा तू मुझको
नेक रास्ते पर चला दे
ज़िन्दगी में सही-ग़लत का
फ़र्क़ मुझको बतला दे
बस इक तमन्ना है मेरी
तू कर ले उसको भी क़ुबूल
हर वक़्त तेरी बंदगी हो
बन जाऊँ तेरे क़दमों की धूल
तेरे बनाए इस दिमाग़ में
कुछ ऐसे ख़्यालात न दें
कि मेरे किसी फ़ैसले पर
मेरे अपने ही मेरा साथ न दें
चलता रहूँ तेरे नक़्श-ए-क़दम पर
बुलंदियों को कर हासिल
हर उम्मीदों पर खरा उतरकर
फ़तह करूँ मैं हर मंज़िल
तू ही मेरी ज़िन्दगी की
हर नई शुरुआत बनें
है दुआ ये मेरी तुझसे
कि तुझसे ही हर बात बनें
हो सामने मेरे सवाल कई
और तू ही मेरा जवाब बनें
जो देखे मैंने आँख खोलकर
सच्चे हर वो ख़्वाब बनें
तेरी रहमतों का हर पल
शुक्रगुज़ार मैं हूँ मौला
ज़िन्दगी ही दे दी तूने
इससे ख़ास कुछ क्या होगा
तेरे एहसानों का अब मैं
नेक कामों से अहकाम करूँ
मैं खुश रहूँ और कोई नाख़ुश
ऐसा न कोई काम करूँ
अगर कहीं इस ज़िन्दगी में
कोई ग़लती मुझसे हो जाए
जिससे कि इस दिल के अरमाँ
दूर शिखर में खो जाए
फिर अगर तेरी कोई बारगाह में
हाथ माफ़ी में उठ जाए तो
माफ़ हमें तू कर देना
दिल माफ़ी माँगने में शर्माए तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"
our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"
As you were reading Waqt Shayari Shayari