gham ka juzdaan ho gaya hoon main | ग़म का जुज़दान हो गया हूँ मैं

  - Kaleem Noori Firozabadi

gham ka juzdaan ho gaya hoon main
apni pehchaan ho gaya hoon main

khushbuoen bas gaeein hain rag rag mein
jaise gul-daan ho gaya hoon main

roz mujh mein chitaayein jaltee hain
ek shamshaan ho gaya hoon main

koi mujh ko samajh nahin paata
itna aasaan ho gaya hoon main

thaharti hi nahin koi khwaahish
qasr-e-veeraan ho gaya hoon main

meri chhoti si ik hukoomat hai
jis ka sultaan ho gaya hoon main

dho raha hoon main khud ko kaandhon par
ek shamshaan ho gaya hoon main

mujh ka patthar samajh ke mat todo
ab to insaan ho gaya hoon main

ग़म का जुज़दान हो गया हूँ मैं
अपनी पहचान हो गया हूँ मैं

ख़ुशबूएँ बस गईं हैं रग रग में
जैसे गुल-दान हो गया हूँ मैं

रोज़ मुझ में चिताएँ जलती हैं
एक शमशान हो गया हूँ मैं

कोई मुझ को समझ नहीं पाता
इतना आसान हो गया हूँ मैं

ठहरती ही नहीं कोई ख़्वाहिश
क़स्र-ए-वीरान हो गया हूँ मैं

मेरी छोटी सी इक हुकूमत है
जिस का सुल्तान हो गया हूँ मैं

ढो रहा हूँ मैं ख़ुद को काँधों पर
एक शमशान हो गया हूँ मैं

मुझ का पत्थर समझ के मत तोड़ो
अब तो इंसान हो गया हूँ मैं

  - Kaleem Noori Firozabadi

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Noori Firozabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari