is tarah se na roliye aansu | इस तरह से न रोलिए आँसू

  - Kaleem Noori Firozabadi

is tarah se na roliye aansu
qahqahon mein bhi gholiye aansu

ham ne dil ki zameen ke badle mein
apni aankhon mein bo liye aansu

de ke phir koi gham jaga deeje
so liye khoob so liye aansu

meri aankhon mein dhoondhiye na unhen
apne dil mein tatoliye aansu

jab khayal aaya koi dekh na le
aasteen mein samo liye aansu

tanhaa dekha jo raah-e-ulfat mein
mere hamraah ho liye aansu

ho gaye aur mohtaram ai kaleem
aab-e-zam-zam se dho liye aansu

इस तरह से न रोलिए आँसू
क़हक़हों में भी घोलिए आँसू

हम ने दिल की ज़मीं के बदले में
अपनी आँखों में बो लिए आँसू

दे के फिर कोई ग़म जगा दीजे
सो लिए ख़ूब सो लिए आँसू

मेरी आँखों में ढूँढिए न उन्हें
अपने दिल में टटोलिए आँसू

जब ख़याल आया कोई देख न ले
आस्तीं में समो लिए आँसू

तन्हा देखा जो राह-ए-उल्फ़त में
मेरे हमराह हो लिए आँसू

हो गए और मोहतरम ऐ 'कलीम'
आब-ए-ज़म-ज़म से धो लिए आँसू

  - Kaleem Noori Firozabadi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Noori Firozabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari