khwaahish-e-deed ke aankhon mein ujaale le kar
dhoondhta hoon main tujhe paanv mein chaale le kar
zard pad jaate hain taabinda sitaaron ke badan
chaand jis waqt nikalta hai ujaale le kar
toot jaayega ye tera bhi takabbur suraj
raat jab aayegi tareek hawaale le kar
zindagi us ko bachaana ho to yun bachti hai
bhej deta hai khuda makdiyaan jaale le kar
koi suqraat nahin main jo khushi se pee luun
aap kyun aaye hain ye zahar ke pyaale le kar
ख़्वाहिश-ए-दीद के आँखों में उजाले ले कर
ढूँढता हूँ मैं तुझे पाँव में छाले ले कर
ज़र्द पड़ जाते हैं ताबिंदा सितारों के बदन
चाँद जिस वक़्त निकलता है उजाले ले कर
टूट जाएगा ये तेरा भी तकब्बुर सूरज
रात जब आएगी तारीक हवाले ले कर
ज़िंदगी उस को बचाना हो तो यूँ बचती है
भेज देता है ख़ुदा मकड़ियाँ जाले ले कर
कोई सुक़रात नहीं मैं जो ख़ुशी से पी लूँ
आप क्यूँ आए हैं ये ज़हर के प्याले ले कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi
our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi
As you were reading Good night Shayari Shayari