kya jiyega koi ham khaak-nasheenon ki tarah | क्या जियेगा कोई हम ख़ाक-नशीनों की तरह

  - Kaleem Noori Firozabadi

kya jiyega koi ham khaak-nasheenon ki tarah
ek ik pal yahan guzra hai maheenon ki tarah

us ne chadh kar mere kaandhon pe falak choom liya
main zameen par hi khada rah gaya zeeno ki tarah

daur-e-haazir mein mohabbat ka koi mol nahin
dil bhi hone lage neelaam zameenon ki tarah

khud nahin chalta koi aur chalaata hai use
ab to insaan bhi tulta hai masheenon ki tarah

jab se aaya hai fasaadaat ke mausam mein ubaal
ham bhi maujon mein ghire toote safeenon ki tarah

main ne duniya ki nigaahon se bacha kar ai kaleem
dil mein rakha tiri yaadon ko dafeenon ki tarah

क्या जियेगा कोई हम ख़ाक-नशीनों की तरह
एक इक पल यहाँ गुज़रा है महीनों की तरह

उस ने चढ़ कर मिरे काँधों पे फ़लक चूम लिया
मैं ज़मीं पर ही खड़ा रह गया ज़ीनों की तरह

दौर-ए-हाज़िर में मोहब्बत का कोई मोल नहीं
दिल भी होने लगे नीलाम ज़मीनों की तरह

ख़ुद नहीं चलता कोई और चलाता है उसे
अब तो इंसान भी तुलता है मशीनों की तरह

जब से आया है फ़सादात के मौसम में उबाल
हम भी मौजों में घिरे टूटे सफ़ीनों की तरह

मैं ने दुनिया की निगाहों से बचा कर ऐ 'कलीम'
दिल में रक्खा तिरी यादों को दफ़ीनों की तरह

  - Kaleem Noori Firozabadi

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Noori Firozabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari