mahakne ka qareena aa gaya hai | महकने का क़रीना आ गया है

  - Kaleem Noori Firozabadi

mahakne ka qareena aa gaya hai
ghazal ko zakham seena aa gaya hai

charaagon ki love ab sust kar do
sitaaron ko paseena aa gaya hai

ai meri zindagi tujh se bichhad kar
mujhe qiston mein jeena aa gaya hai

chalo toofaan se bhi ab baat kar len
kinaare par safeena aa gaya hai

utar jaayega suraj tera nashsha
december ka mahina aa gaya hai

महकने का क़रीना आ गया है
ग़ज़ल को ज़ख़्म सीना आ गया है

चराग़ों की लवें अब सुस्त कर दो
सितारों को पसीना आ गया है

ऐ मेरी ज़िंदगी तुझ से बिछड़ कर
मुझे क़िस्तों में जीना आ गया है

चलो तूफ़ाँ से भी अब बात कर लें
किनारे पर सफ़ीना आ गया है

उतर जाएगा सूरज तेरा नश्शा
दिसम्बर का महीना आ गया है

  - Kaleem Noori Firozabadi

Happy New Year Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Noori Firozabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Happy New Year Shayari Shayari