us ko choone ko kai haath nikal kar aaye | उस को छूने को कई हाथ निकल कर आए

  - Kaleem Noori Firozabadi

us ko choone ko kai haath nikal kar aaye
chaand se kis ne kaha tha ki vo chat par aaye

ho utha phir se siyaasat mein samundar manthan
zahar peene ke liye phir koi shankar aaye

tum ne aankhen to khuli rakhi hain apni lekin
dil ka darwaaza khule tab koi andar aaye

main to farhaad nahin qais bhi raanjha bhi nahin
kyun meri samt har ik samt se patthar aaye

gham mein doobi hui ghazalon ke jo aansu ponche
aisa koi to zamaane mein sukhanvar aaye

main vo dariya hoon jo ghar se kabhi nikla hi nahin
pyaas le kar meri chaukhat pe samundar aaye

उस को छूने को कई हाथ निकल कर आए
चाँद से किस ने कहा था कि वो छत पर आए

हो उठा फिर से सियासत में समुंदर मंथन
ज़हर पीने के लिए फिर कोई शंकर आए

तुम ने आँखें तो खुली रक्खी हैं अपनी लेकिन
दिल का दरवाज़ा खुले तब कोई अंदर आए

मैं तो फ़रहाद नहीं क़ैस भी राँझा भी नहीं
क्यूँ मिरी सम्त हर इक सम्त से पत्थर आए

ग़म में डूबी हुई ग़ज़लों के जो आँसू पोंछे
ऐसा कोई तो ज़माने में सुख़नवर आए

मैं वो दरिया हूँ जो घर से कभी निकला ही नहीं
प्यास ले कर मेरी चौखट पे समुंदर आए

  - Kaleem Noori Firozabadi

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Noori Firozabadi

As you were reading Shayari by Kaleem Noori Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Noori Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari