ham chal diye hai wahin apne dil ko chhodkar
usne dekha jab hamein mehfil ko chhodkar
lab ain aur zulfein sab uski bemisaal hai
hamne kuchh nahi dekha sirf uske til ko chhodkar
vo maarega mujhe usi ke haathon maut hogi
sab jaante hai ye us kaatil ko chhodkar
main main nahi gar tu nahi jo main nahi tu tu nahi
samandar kahaan samandar hai saahil ko chhodkar
hasratein mohlaten nafratein sab kuchh hai
sab diya hai ishq mein jaam-e-gil ko chhodkar
ek kharoch par bhi log pareshaani bataate hai
aise kaise aa gaye aap bismil ko chhodkar
kanor tere uske beech ek zamaana aata hai
kehne ko hai tera ghar ek manzil ko chhodkar
हम चल दिए है वहीं अपने दिल को छोड़कर
उसने देखा जब हमें महफ़िल को छोड़कर
लब, ऐन और ज़ुल्फ़ें सब उसकी बेमिसाल है
हमने कुछ नही देखा सिर्फ उसके तिल को छोड़कर
वो मारेगा मुझे उसी के हाथों मौत होगी
सब जानते है ये उस कातिल को छोड़कर
मैं मैं नही ग़र तू नही, जो मैं नही तू तू नही
समंदर कहाँ समंदर है साहिल को छोड़कर
हसरतें मोहलतें नफ़रतें सब कुछ है
सब दिया है इश्क में जाम-ए-गिल को छोड़कर
एक ख़रोंच पर भी लोग परेशानी बताते है
ऐसे कैसे आ गए आप बिस्मिल को छोड़कर
'कनोर' तेरे उसके बीच एक ज़माना आता है
कहने को है तेरा घर एक मंज़िल को छोड़कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kanor
our suggestion based on Kanor
As you were reading Nature Shayari Shayari