khwaab udte ko mere zameen kiya hai | ख़्वाब उड़ते को मेरे ज़मीन किया है

  - Kanor

khwaab udte ko mere zameen kiya hai
apni raato ko usne apna din kiya hai

main vo shakhs hoon jo kabhi masjid nahi gaya
meri maa hi ne shohrat ko aameen kiya hai

tujhko to mujhe bhulaane mein main laga hoon
maine to jo bhi kiya tere bin kiya hai

tu shahad hai magar teri khaari mohabbat jisne
kai dafa meri aankhon ko namkeen kiya hai

khuda jaane ki hua kya hua kya nahi
maine to sab baaton par yaqeen kiya hai

ab dhona tu jo bhi saza mile tujhe
tune jurm-e-ishq bahut sangeen kiya hai

jaanaan tune wafa ke maayne samjha kar
mujh naasamjh ko ishq mein zaheen kiya hai

ख़्वाब उड़ते को मेरे ज़मीन किया है
अपनी रातो को उसने अपना दिन किया है

मैं वो शख़्स हूँ जो कभी मस्ज़िद नही गया
मेरी माँ ही ने शोहरत को आमीन किया है

तुझको तो मुझे भुलाने में मैं लगा हूँ
मैंने तो जो भी किया तेरे बिन किया है

तू शहद है मग़र तेरी खारी मोहब्बत जिसने
कई दफ़ा मेरी आँखों को नमकीन किया है

खुदा जाने कि हुआ क्या हुआ क्या नही
मैंने तो सब बातों पर यक़ीन किया है

अब ढोना तू जो भी सज़ा मिले तुझे
तुने जुर्म-ए-इश्क बहुत संगीन किया है

जानां तुने वफ़ा के मायने समझा कर
मुझ नासमझ को इश्क में ज़हीन किया है

  - Kanor

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kanor

As you were reading Shayari by Kanor

Similar Writers

our suggestion based on Kanor

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari