rozi ke liye bhatkte bashar dekho
siyaasatdaanon gareeb ka ghar dekho
jumle to kase bahut us waqt ab
kya ho raha kursi ke idhar udhar dekho
aisa bhi ek badnaseeb shehar dekho
mahlon mein beshaur sadko par hunar dekho
nahi rah gaya kya achha kuchh dikhaane ko
zehar dikhaate hain jab bhi khabar dekho
kaun bataaega ki zindagi kya hai
jisne jee hai usse pooch kar dekho
agar chahiye farishte dehr mein
khud ko badlo aur asar dekho
kanor tumko rahe lambi lag rahi
dosti kar lo phir safar dekho
रोज़ी के लिए भटकते बशर देखो
सियासतदानों गरीब का घर देखो
जुमले तो कसे बहुत उस वक़्त अब
क्या हो रहा कुर्सी के इधर उधर देखो
ऐसा भी एक बदनसीब शहर देखो
महलों में बेशऊर सड़को पर हुनर देखो
नही रह गया क्या अच्छा कुछ दिखाने को
ज़हर दिखाते हैं जब भी ख़बर देखो
कौन बताएगा कि ज़िंदगी क्या है
जिसने जी है उससे पूछ कर देखो
अगर चाहिए फ़रिश्ते दहर में
खुद को बदलो और असर देखो
'कनोर' तुमको राहे लम्बी लग रही
दोस्ती कर लो फिर सफ़र देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kanor
our suggestion based on Kanor
As you were reading Musafir Shayari Shayari