taftish kar koi bataaye is shehar mein | तफ़तीश कर कोई बताए इस शहर में - Kanor

taftish kar koi bataaye is shehar mein
kahaan-kahaan hai hasinaaye is shehar mein

hamne pa liya hai kehar bekaraari apna
sitamgar na kahi aa jaaye is shehar mein

jism mitti ke dhelon sa goya bikhar gaya hai
ab na aur mujhe koi giraaye is shehar mein

hum ki khilvat ke maare shehar dar shehar hai
gardishon se kaho na sataaye is shehar mein

ek vo jo meri haan par jaan kahte the
vo jaan-nisaar-e-yaar na ban paaye is shehar mein

naaseha se to khabar sab hai kanor
tu unse mil jo uljhaaye is shehar mein

तफ़तीश कर कोई बताए इस शहर में
कहाँ-कहाँ है हसिनाए इस शहर में

हमने पा लिया है कहर बेकरारी अपना
सितमगर न कहीं आ जाए इस शहर में

जिस्म मिट्टी के ढेलों सा गोया बिखर गया है
अब न और मुझे कोई गिराए इस शहर में

हम की ख़ल्वत के मारे शहर दर शहर है
गर्दिशों से कहो न सताए इस शहर में

एक वो जो मेरी हाँ पर जाँ कहते थे
वो जाँ-निसार-ए-यार न बन पाए इस शहर में

नासेहा से तो खबर सब है 'कनोर'
तू उनसे मिल जो उलझाए इस शहर में

- Kanor
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kanor

As you were reading Shayari by Kanor

Similar Writers

our suggestion based on Kanor

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari