teri tasveer se bhi teri khushboo aati hai | तेरी तस्वीर से भी तेरी खुशबू आती है - Kanor

teri tasveer se bhi teri khushboo aati hai
waisi hi aati hai jaisi ru-b-ru aati hai

rok leta hoon ise dil-o-jaan mein ghulne se
mushkil tab hoti hai jab chaar-su aati hai

zinda logo ka kya hai kaam fida hona
log kabr se aa jaate hai jab tu aati hai

ai parivash tere khidki se jhaankne par
deewaanon ko izhaar-e-aarzoo aati hai

samandar mein bhi ku-b-ku moti milaati hai
jo bhi tere gaav se aabzu aati hai

gali mein teri koi boodha kyun nahi rehta
dekhne se kya tujhe umr-e-numu aati hai

aaye to poore pairhan aana mere paas
main bahkta hoon jab koi be-rafoo aati hai

तेरी तस्वीर से भी तेरी खुशबू आती है
वैसी ही आती है जैसी रु-ब-रु आती है

रोक लेता हूँ इसे दिल-ओ-जाँ में घुलने से
मुश्किल तब होती है जब चार-सु आती है

ज़िन्दा लोगो का क्या है काम फिदा होना
लोग कब्र से आ जाते है जब तू आती है

ऐ परिवश तेरे खिड़की से झाँकने पर
दीवानों को इज़हार-ए-आरज़ू आती है

समंदर में भी कु-ब-कु मोती मिलाती है
जो भी तेरे गाँव से आबज़ु आती है

गली में तेरी कोई बूढ़ा क्यूँ नही रहता
देखने से क्या तुझे उम्र-ए-नुमु आती है

आये तो पूरे पैरहन आना मेरे पास
मैं बहकता हूँ जब कोई बे-रफ़ू आती है

- Kanor
3 Likes

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kanor

As you were reading Shayari by Kanor

Similar Writers

our suggestion based on Kanor

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari