jab se meri taqdeer ka dooba suraj
us roz se ab tak nahin dekha suraj
doobega bahut jald ye chadhta suraj
is vaaste main ne nahin pooja suraj
jab se tire chehre ki chamak dekhi hai
aankhon ko meri ik nahin jachta suraj
taarikee se har shakhs ko furqat to mili
mere liye ab tak nahin nikla suraj
kirnon ko vo bazaar mein bech aaya hai
shaayad ki kai din se tha bhooka suraj
tum ne to kai logon ko baante lekin
main ne to kabhi ek na paaya suraj
barson se zamaane ko sehar de na saka
haalaat mein kuchh is tarah uljha suraj
aaya hai tasavvur mein sar-e-shaam koi
mere ufuq-e-zehan pe nikla suraj
aajiz ko pareshaan nahin kar saka
aflaak-e-masaib ka ye tapta suraj
जब से मिरी तक़दीर का डूबा सूरज
उस रोज़ से अब तक नहीं देखा सूरज
डूबेगा बहुत जल्द ये चढ़ता सूरज
इस वास्ते मैं ने नहीं पूजा सूरज
जब से तिरे चेहरे की चमक देखी है
आँखों को मिरी इक नहीं जचता सूरज
तारीकी से हर शख़्स को फ़ुर्सत तो मिली
मेरे लिए अब तक नहीं निकला सूरज
किरनों को वो बाज़ार में बेच आया है
शायद कि कई दिन से था भूका सूरज
तुम ने तो कई लोगों को बाँटे लेकिन
मैं ने तो कभी एक न पाया सूरज
बरसों से ज़माने को सहर दे न सका
हालात में कुछ इस तरह उलझा सूरज
आया है तसव्वुर में सर-ए-शाम कोई
मेरे उफ़ुक़-ए-ज़ेहन पे निकला सूरज
'आजिज़' को परेशान नहीं कर सकता
अफ़्लाक-ए-मसाइब का ये तपता सूरज
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Aajiz
our suggestion based on Laiq Aajiz
As you were reading Qismat Shayari Shayari