mujhe to jo bhi mila hai azaab ki soorat
meri hayaat hai ik tishna khwaab ki soorat
hawao dil ki taraf ehtiyaat se jaana
vujood amn ka hai qaaim hubaab ki soorat
malaamatein gham-o-aalaam fikr maayusi
ye zindagi hai shikasta kitaab ki soorat
khud apni kargasi fitrat se ho gaye rusva
vagarna tum bhi uthe the uqaab ki soorat
kabhi falak to samundar kabhi utha laaya
pasand dono ko hai aftaab ki soorat
shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai
hamaara chehra tha aajiz gulaab ki soorat
मुझे तो जो भी मिला है अज़ाब की सूरत
मिरी हयात है इक तिश्ना ख़्वाब की सूरत
हवाओ दिल की तरफ़ एहतियात से जाना
वजूद अम्न का है क़ाएम हुबाब की सूरत
मलामतें ग़म-ओ-आलाम फ़िक्र मायूसी
ये ज़िंदगी है शिकस्ता किताब की सूरत
ख़ुद अपनी कर्गसी फ़ितरत से हो गए रुस्वा
वगर्ना तुम भी उठे थे उक़ाब की सूरत
कभी फ़लक तो समुंदर कभी उठा लाया
पसंद दोनों को है आफ़्ताब की सूरत
शगुफ़्तगी की जगह झुर्रियों ने ले ली है
हमारा चेहरा था 'आजिज़' गुलाब की सूरत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Aajiz
our suggestion based on Laiq Aajiz
As you were reading Aaina Shayari Shayari