saba ye baargah-e-husn mein khabar karna | सबा ये बारगह-ए-हुस्न में ख़बर करना

  - Laiq Aajiz

saba ye baargah-e-husn mein khabar karna
use to chahiye zarroon ko bhi qamar karna

mein chahta hoon taalluq ke darmiyaan parda
vo chahta hai mere haal par nazar karna

mere khuda meri duniya hi khatm kar dena
agar duaon ko meri tu be-asar karna

ye dekh lena mohalle ke log kaise hain
phir is ke b'ad hi taameer apna ghar karna

tumhaara kaam hai keechad uchaalna lekin
hamaare zarf mein shaamil hai darguzar karna

meri hayaat se hai pyaar is liye aajiz
vo chahta hai meri umr mukhtasar karna

सबा ये बारगह-ए-हुस्न में ख़बर करना
उसे तो चाहिए ज़र्रों को भी क़मर करना

में चाहता हूँ तअल्लुक़ के दरमियाँ पर्दा
वो चाहता है मिरे हाल पर नज़र करना

मिरे ख़ुदा मिरी दुनिया ही ख़त्म कर देना
अगर दुआओं को मेरी तू बे-असर करना

ये देख लेना मोहल्ले के लोग कैसे हैं
फिर इस के ब'अद ही तामीर अपना घर करना

तुम्हारा काम है कीचड़ उछालना लेकिन
हमारे ज़र्फ़ में शामिल है दरगुज़र करना

मिरी हयात से है प्यार इस लिए 'आजिज़'
वो चाहता है मिरी उम्र मुख़्तसर करना

  - Laiq Aajiz

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laiq Aajiz

As you were reading Shayari by Laiq Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Laiq Aajiz

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari