tark-e-jaam-o-suboo na kar paaye
is liye ham wazu na kar paaye
waqt-e-aakhir bhi hazrat-e-naaseh
apna munh qibla-roo na kar paaye
us ki rahmat ke saayebaan mein tha
mera shak bhi adoo na kar paaye
maslahat ki khadi thi jo deewaar
door us ko kabhu na kar paaye
umr bhar doosron ki fikr rahi
apna daaman rafu na kar paaye
haaye majbooriyaan ki us ke huzoor
pesh apna lahu na kar paaye
kar li kamre mein khud-kushi aajiz
us se jab guftugoo na kar paaye
तर्क-ए-जाम-ओ-सुबू न कर पाए
इस लिए हम वज़ू न कर पाए
वक़्त-ए-आख़िर भी हज़रत-ए-नासेह
अपना मुँह क़िबला-रू न कर पाए
उस की रहमत के साएबान में था
मेरा शक भी अदू न कर पाए
मस्लहत की खड़ी थी जो दीवार
दूर उस को कभू न कर पाए
उम्र भर दूसरों की फ़िक्र रही
अपना दामन रफ़ू न कर पाए
हाए मजबूरियाँ कि उस के हुज़ूर
पेश अपना लहू न कर पाए
कर ली कमरे में ख़ुद-कुशी 'आजिज़'
उस से जब गुफ़्तुगू न कर पाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Aajiz
our suggestion based on Laiq Aajiz
As you were reading Budhapa Shayari Shayari